Mesum Abbas
Mazhar Abidi
Ya Hussain Ya Abbas
Ya Abbas Ya Hussain
Badshah Badshah Badshah Badshah
Badshah Badshah Badshah Badshah
Ik Sakha Hi Sakha, Ik Wafa Hi Wafa
Ik Sakha Hi Sakha, Ik Wafa Hi Wafa
Ik Karam Hi Karam, Ik Atta Hi Atta
Ik Atta Hi Atta
Aik Muhammad Ka Beta Ik Zahra Ki Dua
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Ik Jawanan e Janat Ka Sardar Hai
Dosra Bad e Khaybar Alamdar Hai
Ik Jawanan e Janat Ka Sardar Hai
Dosra Bad e Khaybar Alamdar Hai
Aik Khuda e Sabar o Raza
Ik Quran e Wafa
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Aik Woh Jis Ki Marzi Hai Rab Ki Riza
Aik Woh Jis Ko Baab Ul Hawaij Kaha
Aik Woh Jis Ki Marzi Hai Rab Ki Riza
Aik Woh Jis Ko Baab Ul Hawaij Kaha
Dono Haram Ke Bech Me Baitho
Mil Jaye Khuda
Ya Hussain Ya Abbas
Ya Abbas Ya Hussain
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Ik Sabeelon Ka Malik Hai Shah e Ummam
Dosre Ki Nishani Hai Mashk o Alam
Ik Sabeelon Ka Malik Hai Shah e Ummam
Dosre Ki Nishani Hai Mashk o Alam
Aaj Talak Deti Hai Sadaein
Nehar e Alqama
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Ik Atta Hi Atta Or Shifa Hi Shifa
Ik Sakha Hi Sakha Our Wafa Hi Wafa
Ik Atta Hi Atta Or Shifa Hi Shifa
Ik Sakha Hi Sakha Our Wafa Hi Wafa
Aik Ka Darya Par Qabza
Ik Dilon Ka Shehanshah
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Karbala Teri Pehchan Khak e Shifa
Anbiya Ne Yahan Aa Ke Sajdah Kiya
Karbala Teri Pehchan Khak e Shifa
Anbiya Ne Yahan Aa Ke Sajdah Kiya
Zahra Ke Beton Ne Tujh Ko
Rutba Yeh Diya
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Mujh Gunahgar Ki Moaf Kar Di Khata
Main Jahanum Se Seedha Jinna Me Gaya
Mujh Gunahgar Ki Moaf Kar Di Khata
Main Jahanum Se Seedha Jinna Me Gaya
Chaar Qadam Pe Hur Ka Roza
Deta Hai Sada
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Farsh Se Arsh Tak Inn Ka Hi Raaj Hai
Inn Ke Hi Sar Pe Tauheed Ka Taj Hai
Farsh Se Arsh Tak Inn Ka Hi Raaj Hai
Inn Ke Hi Sar Pe Tauheed Ka Taj Hai
Zindah Inhi Shehzadon Se Hai
Ab Tak Lailaha
Karbala Karbala Tere Do Badshah
Yeh Teri Manzalat Do Jahan Se Siwa
Zairon Ko Tere Sab Ne Haji Kaha
Yeh Teri Manzalat Do Jahan Se Siwa
Zairon Ko Tere Sab Ne Haji Kaha
Mazhar o Mesum Sare Jahan Me
Dete Hain Sada
Karbala Karbala Tere Do Badshah








