Khadim al Hussain Lyrics - Mesum Abbas
Let’s Check Out The Khadim al Hussain Lyrics, Recited by Mesum Abbas & Nazar Al Qatari. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mazhar Abidi.
Title
Khadim al Hussain
Recited By
Written By
Mazhar Abidi
Khadim al Hussain Lyrics in English
Khidmat Guzaran e Karbobala
Kehte Hain Tumse Ye Shah e Huda
Haq e Mohabbat Ada Kardiya
Tum Mujhse Raazi, Main Tumse Raazi
Dete Hain Tumko Dua Murtaza
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Tum Hamari Shaan Ho
Tum Bhi Maizbaan Ho
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Zairon Ki Khidmat Par Mamoor Ho Tum
Iss Azeem Naimat Se Mashhoor Ho Tum
Karbala Ki Ye Fiza Keh Rahi Hai Marhaba
Ghazi Derahe Hain Hausla
Ahsant Khadim al Hussain
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Jo Najaf Se Jaate Hain Paidal Haram Ko
Tum Sahara Dete Ho Har Ahl e Gham Ko
Jabaja Sabel Hai Ishq Ki Daleel Hai
Ehtemaam Aab aur Ghiza
Ahsant Khadim al Hussain
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
--Arabic--
Har Qadam Moakib Jo Tumne Banaye
Jo Safar Se Thakjaye Araam Paye
Ho Koi Mareez e Gham Ya Zaeef e Mohtaram
Sabko Baantte Ho Tum Dawa
Ahsant Khadim al Hussain
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Nabeena Zair Ki Beenayi Tum Ho
Mazoor Zair Ki Besaakhi Tum Ho
Is Qadar Hujoom Main De Rahe Ho Rahatain
Kyun Na Zairon Ki Ho Sada
--Arabic--
Sada Dete Hain Shabbir, Halabikom
Banadoonga Mai Taqdeer, Halabikom
Chale Aao Ae Zawar, Halabikom
Mere Gham Ke Talabgaar, Halabikom
Masayib Se Na Ghabrao, Halabikom
Dar e Ghazi Pe Ajao, Halabikom
Qadam Qadam Karain Ata
Badhate Jayen Hausla
Dekha Rahe Hain Raasta
Tumhare Ishq Pe Fida
Tata Karen Tumhe Sila, Halabikom
Zairon Ki Nalain Bhi Jodte Ho
Kab Tum Is Fareeze Se Moo Modte Ho
Khoob Naukri Hai Ye Qalb Ki Khushi Hai Ye
Hai Nijaat Ka Ye Raasta
Ahsant Khadim al Hussain
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Ki Hai Shahrahon Pe Khidmat Guzaari
Mausamo Ki Shiddat Main Bhi Pursadari
Din Ho Raat Ho Ya Shaam
Apne Kaam Se Hai Kaam
Boli Haar Maan Kar Hawa
Ahsant Khadim al Hussain
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Bachon Main Bhi Aayi Adaat Tumhari
Naslon Ko Ye Baat Tumne Sikhaadi
Matam o Buka Karo, Tum Bhi Marsiya Padho
Tumse Bhi Kahaengi Syeda
Ahsant Khadim al Hussain
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Khadimeen e Karbal Ki Jo Naukri Hai
Mazhar Ki Mesum Ki Khwahish Yahi Hai
Khadimo Main Naam Ho
Aaisa Intezaam Ho
Humse Bolain Shah e Karbala
Ahsant Khadim al Hussain
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Halabikom
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon