Mere Ghar Mola Aey Hain Lyrics - Farhan Ali Waris
Let’s Check Out The Mere Ghar Mola Aey Hain Lyrics, Recited by Farhan Ali Waris. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mazhar Abidi.
Title
Mere Ghar Mola Aey Hain
Recited By
Written By
Mazhar Abidi
Mere Ghar Mola Aey Hain Lyrics in English
Aza Ka Chand Jab Dekha
Gali Gali Main Kale Parcham Aate Hain Nazar
Log Azadari Ko Nikle Hain Shahrahon Par
Falaq Se Kis Ki Sawari Aai Alam Saje Ghar Ghar
Hussain...
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Banai Sheh Nashi Ghar Main
Nishan e Gham Sajaya Hai
Siyah Parde Lagaen Hain
Zamane Ko Bataya Hai
Samjh Le Ta Ke Ye Dunya
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Mere Ghar Aaj Majlis Hai
Zameen Walo Falaq Walo
Agar Shok e Ziyarat Hai
Shah e Deen Ke Azadaron
Ziyarat Ko Chale Aana
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Hussain Hussain...
Mah e Aza Hai Kale Parcham Lao
Ghar Pe Jari Ka Alam Lehrao
Guzre Jahan Se Juloos Aza Ka
Rahon Main Us Ke Sabeelen Lagao
Banto Tabaruk Nazar Dilao
Bachon Ko Apne Saqqa Banao
Ghar Ghar Main Farsh Aza Ka Bichhao
Karo Ealan Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Muharram Jab Nahi Hota
To Ye Manzar Nahi Hota
Bapa Majlis Jo Hoti Hai
Ye Ghar Wo Ghar Nahi Rehta
Bana Hai Ghar Aza Khana
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Meri Dehleez Par Dekho
Kataren Anbiyan Ki Hain
Ataen Kis Kadar Mujh Par
Sakina Ke Chacha Ki Hain
Alam Dekha To Dil Bola
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bohat Tha Shook Is Dil Main
Main Dekhon Roaza Mola Ka
Khabar Thi Mere Mola Ko
Karam Mujh Aur Huwa Aaisa
Ke Ik Din Khuaab Main Dekha
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Daro Deewar Mehke Hain
Aqeedat Ye Batati Hai
Kisi Hasti Ki Amad Hai
Khabar Khushboo Sunati Hai
Jise Tu Ghar Bulata Tha
Sawari Us Ki Aati Hai
Ujala Hogya Har Soo
Gire Phir Ankh Se Ansoo
Raha Na Qalb Pe Kabu (Hussain...)
Lage Ik Khaab Ke Jaisa
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bulaya Main Ne Mola Ko
To Wo Tanha Nahi Aaye
Kisi Ko Laaye Maqtal Se
Kisi Ko Sham Se Laaye
Aur Un Ke Sath Hain Zehra
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Ajab Hai Kefiyat Dil Ki
Khushi Hai Aur Hai Gham Bhi
Kaaron Main Shukr Ke Sajde
Musale Par Hai Matam Bhi
Dhala Hai Shukar Main Noha
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Kaha Farhan Ne Ro Kar
Likhi Kya Baat Mazhar Ne
Ajal Ka Jab Pyam Aaya
To Main Bola Farishte Se
Abhi Main A Nahi Sakta
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Mola Aayen Hain
Ya Syed e Mazloom Lute Ghar Ka Lo Pursa
Naizon Pe Shahidon Ke Har Ik Sar Ka Lo Pursa
Ali Akbar Ka Lo Pursa, Ghazi Ka Lo Pursa
Ali Asghar Ka Lo Pursa
Han Aoun o Muhammad Ka Lo, Qasim Ka Lo Pursa
Kulsoom Ka Zainab Ka Sakina Ka Lo Pursa
Khaimo Ka Lo Pursa, Luti Chadar Ka Lo Pursa
Bimaar Ka Pursa, Jale Bistar Ka Lo Pursa
Haye Mere Mola Ye Bhare Ghar Ka Lo Pursa
Ya Mazloom Hussaina, Hussain Hussain Hussaina
Ya Pyase Hussaina, Hussain Hussain Hussaina
Ghar Tera Luta Gya, Hussain Hussain Hussaina
Kunba Bhi Pyasa Raha, Hussain Hussain Hussaina
Har Ik Khaima Jal Gya, Hussain Hussain Hussaina
Chhin Gain Sab Ki Rida, Hussain Hussain Hussaina
Rote Hain Ahl e Aza, Hussain Hussain Hussaina
Matmi Gunje Sada, Hussain Hussain Hussaina
Ghar Ghar Hai Farsh e Aza, Hussain Hussain Hussaina
Ghar Ghar Hai Farsh e Aza Matmi Gunje Sada
Hussain Hussain Hussaina
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon