Karo Matam Hussain Ka Lyrics - Shahid Baltistani
Let’s Check Out The Karo Matam Hussain Ka Lyrics, Recited by Shahid Baltistani. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Karo Matam Hussain Ka
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Karo Matam Hussain Ka Lyrics in English
Ajeeb Shor Hai
Ke Shor Main Sakoon Hai
Han Ye Shor e Matam hai
Ye Seene Par Padne Wala Hath
Yazeediyat Ke Rukhsaar Par Tamacha Hai
Ye Matam Sada Rahe
Or Is Se Siwa Rahe
Haiya Alal Aza
Haiya Alal Buka
Hussain Hussain Mola, Mola Hussain
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Farsh Bichha Lo Halqa Bana Lo
Ye Keh Raha Hai Mah e Aza
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Ye Azadari Taziya Daari
Zahra Ke Ghar Se Hai Wafadaari
Ansoo Baha Kar Nohe Suna Kar
Karte Rahenge Ham Pursa Daari
Jab Tak Hamari Sansen Hain Baqi
Dil Se Ye Gham Na Hoga Judda
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Hussain Hussain Mola, Mola Hussain
Ye Jo Hamare Ghar Par Alam Hai
Shah e Wafa Ka Hum Par Karam Hai
Saaye Mein Is Ke Matam Karainge
Jitna Hamare Seenon Dam Hai
Farsh Aza Ka Bichhta Rahe Ga
Kehte Rahengen Hum Ye Sada
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Ye Maatami Jo Halqa Laga Hai
Thook Ke Seena Ye Keh Raha Hai
Maatam Se Hum Ko Roke Na Koi
Zainab Hum Se Hum Ne Wada Kya Hai
Seene Pe Daagh e Maatam Saja Ke
Karte Rahenge Wada Wafa
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Hussain Hussain Mola, Mola Hussain
Ehl e Haram Ko Aur Un Ke Gham Ko
Bhool Na Jana Tum Is Karam Ko
Jis Ne Khuda Se Manga Tha Ghazi
Us Fatima Ne Manga Hai Hum Ko
Hai Khush Naseebi Hum Hussaini
Aur Hain Duaye Khair ul Nisa
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Zahra Hon Razi Maatam Ho Aisa
Jo Is Ka Haq Hai Pursa Waisa
Khud Ko Bhala Kar Maatam Karo Tum
Ae Azadaron Sharmana Kaisa
Hai Ye Ibadat Chhorro Nazakat
Ban Kar Faqeer e Karbobla
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Hussain Hussain Mola, Mola Hussain
Sun Kar Bichhao Gham Ka Musala
Haiya Alal Aza Haiya Alal Aza
Haath Hamare Ban Kar Namazi
Karte Rahenge Seene Pe Sajda
Baad e Aqamat Karna Niyat
Kurbatan Ila Shah e Wafa
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Qaid e Sitam Se Paake Rihayi
Har BiBi Apne Pyaron Ko Roi
Us Waqt Lekin Beti Ali Ki
Bachon Ko Apne Bilkul Roi
Chhoote Se Haye Do Sir Jab Aaye
Bibiyon Se Zainab Ne Kaha
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Ghar Ghar Mein Maatam Ki Jo Sada Hai
Ye Ehtijaj e Karbobla Hai
Batil Ke Munh Pe Hai Ye Tamacha
Is Ne Hi Haq Ko Zindah Rkha Hai
Zeeshan Hum Ko Darwaish e Gham Ko
Bedaar Rakhti Hai Ye Sada
Haan Karo Maatam Hussain Ka
Zahra Ke Chain Ka
Mola Hussain Ka Matam Karo
Hussain Hussain Mola, Mola Hussain
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon