Mesum Abbas
Mir Hilal
Haye Haye Jawan Akbar Jawan
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Ya Ali Kehte Jaa Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Mere Beta Zara Gale Se Lago
Kuch To Baba Se Uth Ke Baat Karo
Dekho Kab Se Bula Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Badi Hasrat Se Janib E Darya
Apne Bhai Ka Dekh Kar Lasha
Sirf Ansu Baha Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Ankh Bhi Kholte Nahi Akbar
Kuch Bhi Ab Bolte Nahi Akbar
Bas Gale Se Laga Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Mout Ki Neend Sogaya Beta
Hai Khabar Ab Kabhi Na Uthega
Haye Phir Bhi Jaga Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Bani Hashim Ke Bachon Ajao
Naujawa'n Ka Janaza Uthwao
Bekasi Main Bula Rahe Hain Hussain
Khak e Maqtal Se Dash Ghurbat Main
Lash E Kadiyal Jawan Ki Surat Main
Apni Mayyat Utha Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Sehra Bandha Hai Moat Ne Aake
Khoo’n Ki Mehndi Hai Hath Main Jiske
Aaise Dolhe Ko La Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Bap Ko Bete Dete Hain Kandha
Lasha Lekin Jawan Bete Ka
Apne Kandho Pe La Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain
Mesum Ab Kya Baya'n Ho Ranj o Malal
Naame Abbas Leke Mir Hilal
Zor E Bazu Dikha Rahe Hain Hussain
Lash E Akbar Utha Rahe Hain Hussain











