Salam Ay Zuhair Ibn e Qain Lyrics - Joan Rizvi
Let’s Check Out The Salam Ay Zuhair Ibn e Qain Lyrics, Recited by Joan Rizvi. It is a New Noha of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Salam Ay Zuhair Ibn e Qain
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Salam Ay Zuhair Ibn e Qain Lyrics in English
Ashiq e Hussain, Nasir e Hussain
Ghulam e Hussain Ae Zuhair Ibn E Qain
Salam Salam Salam Ae Zuhair Ibn E Qain
Ae Qain Ke Bete Aye Zuhair e Saf e Awwal
Haan Aaj Bhi Zindah Hai Zamane Mein Tera Kal
Rahwar Ko Talwar Ko Bas Kehde Agar Chal
To Apne Harefoon Mein Machha Deta Hai Halchal
Ae Naz e Shujat Ye Zoor Ye Taqat
Tu Ran Mein Utar Aaye To Dushman Pe Ho Haibat
Salam Salam Salam Ae Zuhair Ibn E Qain
Ab Our Bayan Kaun Kare Teri Barai
Abbas Ke Bhai Ne Kaha Hai Tujhe Bhai
Tujh Par Ho Salam Ae Sheh e Wala Ke Fidai
Ghar Chor Diya Tu Ne Wafa Aaisi Nibhai
Islam Ki Khatir Tu Bab Gaya Nasir
Shabeer Se Tu Kehta Raha Mola Main Hazir
Salam Salam Salam Ae Zuhair Ibn E Qain
Bole Shab e Ashur Diya Shah Bhuja Ke
Jo Chahe Chala Jaye Abhi Jan Bacha Ke
Oss Waqt Kaha Tu Ne Yeh Shabeer Se Aa Ke
Jeena Hai Mujhe Aap Pe Sar Apna Kata Ke
Teri Yeh Tajali Sarwar Ki Tasali
Mehdi Ne Tujhe Keh Ke Pukara Hai Bajalli
Salam Salam Salam Ae Zuhair Ibn E Qain
Yeh Rutba Saeed Our Tere Hisse Mein Aaya
Haan Waqt e Namaz Aaya Tu Yeh Farz Nibhaya
Jab Teer Chale Apna Badan Dhaal Banaya
Khud Zakhm Sahe Dilbar e Zahra Ko Bachaya
Zahra Hoin Razi Aye Ghazi Ke Ghazi
Seene Se Laga Ke Tujhe Kehte They Namazi
Salam Salam Salam Ae Zuhair Ibn E Qain
Jab Orh Liya Ishq e Wilayat Ka Libada
Aankhon Mein Nazar Aane Laga Tera Iradah
Yeh Fikar Thi Bas Zindah Rahe Fatima Zadah
Dushman Ke Gale Kaat Diye So Se Ziyada
Jo Samne Aaya Woh Bach Nahi Paya
Tu Ne Hi Sitamgaron Se Khaimon Ko Bachaya
Salam Salam Salam Ae Zuhair Ibn E Qain
Ashiq e Hussain, Nasir e Hussain
Ghulam e Hussain Ae Zuhair Ibn E Qain
Aye Azadaro Suno Karbobala Ka Manzar
Ran Mein Jis Waqt Zuhair Aaye Mujahid Ban Kar
Dabdaba Dekh Ke Maqtal Mein Yehi Shoor Utha
Qain Ka Beta Zuhair Aaya Bahadur Aaya
Woh Rajaz Tu Ne Parhi Khof Fiza Mein Chhaya
Ghaiz Mein Lashkar e Batil Ko Yehi Batlaya
Tum Kise Marne Aaye Ho Khuda Se Tu Daro
Woh Muhammad Ka Nawasa Hai Zara Khof Karo
Mujh Ko Maloom Hai Shabeer Ki Nusrat Ka Sila
Hajj Se Aate Hoye Main Rah Mein Jab Unn Se Mila
Unn Ko Dekha Tu Mujhe Yaad Muhammad Aaye
Mera Dil Kya Hai Meri Jan Fida Ho Jaye
Phir Wigha Ke Liye Jab Khud Ko Utara Ran Mein
Maut Tharane Lagi Kitno Ko Mara Ran Mein
Ran Mein Ik Shoor Tha ALLAH Re Aisa Hamla
Ho Baho Lagne Laga Shair Ke Jaisa Hamla
Hukam Aaya Ke Isse Charon Taraf Se Ghairo
Iss Se Tanha Na Lara Jaye Ga Mil Kar Maro
Ik Taraf Hamle Ko Teyar Kaseer e Shaibi
Ik Taraf Oss Ka Beta Tha Mohajir Nami
Mil Ke Dono Ne Jo Talwar Se Mara Haye
Ran Mein Ghore Se Bin e Qain Zameen Par Aaye
Al Garz Khuld Chale Ran Mein Shahadat Pa Ke
Joan o Zeeshan Kaha Shah Ne Yehi Pas Aa Ke
Ae Bahadur Aye Shujat Ke Paristar Salam
Dekh Karte Hain Tujhe Haider e Karar Salam
Salam Salam Salam Ae Zuhair Ibn E Qain
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon