Teri Zehra Pay Musibat Ki Ghari Hai Lyrics - Mir Hasan Mir
Let’s Check Out The Teri Zehra Pay Musibat Ki Ghari Hai Lyrics, Recited by Mir Hasan Mir. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mir Takallum.
Title
Teri Zehra Pay Musibat Ki Ghari Hai
Recited By
Written By
Mir Takallum
Teri Zehra Pay Musibat Ki Ghari Hai Lyrics in English
Teri Zahra Pe Mosibat Ki Ghari Hai
Haye Baba, Teri Zahra Pe Mosibat Ki Ghari Hai
Kaise Darwaza Hataon
Kaise Mohsin Ko Bachaon
Saans Seene Mein Ruki Hai
Teri Umat Ne Bana Di Hai Yeh Halat Baba
Koi Pasli Bhi Nahi Meri Salamat Baba
Saans Leti Hoon Main Jiss Dam
Rukne Lagta Hai Mera Dam
Sirf Marne Ki Kami Hai
Bin Ali Ke Main Zamane Main Mein Jiyoun Gi Kaise
Sab Hai Bardasht Ye Bardasht Karon Gi Kaise
Badh Gai Had Se Aadawat
Teri Beti Ko Ye Ummat
Bewa Karne Pe Tuli Hai
Kabhi Darbar Mein Peshi Ko Bolate Hain Hamein
Kabhi Darwaze Pe Aa Aa Ke State Hain Hamein
Mere Yeh Phool Se Bache
Pochhte Hain Yehi Mujh Se
Kya Khatta Ham Se Hui Hai
Guzri Aatharan Baras Main Hi Wo Mujh Par baba
Sin Mera Lagta Hai Fizza Ke Brabar Baba
Khud Gawahi Tumhain De Gi
Mere Balon Ki Safaidi
Wo Jafa Mujh Pe Hui Hai
Jab Se Hasnain Ke Baba Se Suna Hai Ye Kalam
Ke Mujh Ko Ab Koi Madine Main Nahi Karta Salam
Tab Se Ye Haal Hai Mera
Apne Gham Bhool Ke Baba
Bas Mujhe Fikr e Ali Hai
Sharm Atti Hai Bhala Tum Ko Bataon Kaise
Yeh Tamache Ka Nishaan Tum Ko Dikhaon Kaise
Tum Na Pehchan Sako Ge
Dekh Kar Mujh Ko Kaho Ge
Kya Meri Zahra Yehi Hai
Qabar e Zahra Se Takallum Yeh Sada Aati Hai
Kitni Sadiyon Se Meri Qabar Pe Veerani Hai
Phool Turbat Peh Chadha De
Ik Diya La Ke Jala De
Kya Madine Mein Koi Hai
Haye Baba, Teri Zahra Pe Mosibat Ki Ghari Hai
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon