Amad Amad Haram e Shah Ki Lyrics - Mir Hasan Mir
Let’s Check Out The Amad Amad Haram e Shah Ki Lyrics, Recited by Mir Hasan Mir. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mir Takallum & Mir Anees.
Title
Amad Amad Haram e Shah Ki
Recited By
Written By
Mir Takallum & Mir Anees
Amad Amad Haram e Shah Ki Lyrics in English
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai

Hukum Aya Hai Aseeron Ko Barabar Maro
Jashan Ka Waqt Hai Dure Inhein Hans Kar Maro
Ik Manadi Ye Nida Deta Hai Aao Logo
Baaghi Aaye Hain Inhein Shuk Se Pathar Maro
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Haye Khoon Main Duba Huwa Sadaat Ka Har Chehra hai
Girya Kar Sakte Nahi Aah Pe Bhi Pehra Hai
Sang Bari Ki Aziyat bhi Badi Hai Lekin
Zakham Sadke Ki Khajooron Ka Bohat Gehra Hai
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Haye Dekh Kar Aal e Muhammad Ko Hanse Jate Hain
Log Har Mod Pe Bas Tane Diye Jate Hain
Chadaren Kya Hain Kafan Bhi Nahi Deta Koi
Zinda Lashe Liye Sajjad Chale Jate Hain
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Mustakil Aal e Muhammad Main Azadari Hai
Or Beemar Ki Ankhon Se Lahu Jari Hai
Be Rida Sham Ke Bazar Main Aate Hain Harm
Aaisa Lagta Hai Kisi Eid Ki Tyari hai
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Haye Jholi Bhar Bhar Ke Sitmgar Hain Laye Pathar
Patharon Ne Bhi Hain Hathon Main Uthaye Pathar
Nok e Naiza Se Gira Khak Pe Sar Asghar Ka
Are Chhote Bachon Se Sakina Ne Jo Khaye Pathar
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Bab e Saat Pe Bhi Zakhmo Se Bhare Hain Qaidi
Hai Waram Paon Pe Paidal Jo Chale Hain Qaidi
Log Tashheer Ke Khanjar Liye Aamadan Hain
3 Din Ho Gaye Maktal Main Khare Hain Qaidi
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Haye Darbar Main Jane ki Ghari Kaisi Thi
Honsla Deti Rahi Sab Ko Ali Ki Beti
Saat So Kursi Nashee Door Se Dekhe Jis Dam
Thaam Kar Apni Qamar Bint e Ali Baith Gai
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Wadha Beti Se Nibhane Ke Liye Aaye Ali
Sani e Zahra Takallum Par Tazeem Uthi
Is Gharibi Pe Tadapne Lagi Rooh e Zehra
Baap Ke Sath Jo Beti Sar e Darbar Gai
Subh Se Jashan Ka Ghul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyaad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai
Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon