Na Bhoolay Ga Sajjad Lyrics - Irfan Haider
Let’s Check Out The Na Bhoolay Ga Sajjad Lyrics, Recited by Irfan Haider. It is a New Noha of the Year 2022. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Na Bhoolay Ga Sajjad
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Na Bhoolay Ga Sajjad Lyrics in English
Mola Sajjad Ka Noha Suntay Hi
Aza Khana e Dil Me
Ho Gayi Majlis Barpa, Haye Sajjad
Ho Gaya Matam Barpa, Haye Sajjad
Ho Gayi Majlis Barpa, Ho Gaya Matam Barpa
Tarikh Gham e Sajjad me ye
Arbaab e maqaatil ne likha
Noman Ibne Manzar Se Ye
Sajjad Ne Ik Din Farmaya
Aaghaz e Safar Se Aakhir Tak
Kya Kya Na Sitam Guzre Ham Par
Han Saat Masaib Aise The
Jo Sakht Tareen Huye Ham Par
Sajjad Ki Ghurbat Wawaila
Haye Wo Qayamat Wawaila
Wo Sitam Wo Sakhtiyan
Aur Shaam Ka Wo Raasta, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Talwar Aur Naizon Se Ham Par
Wo Hamla Karte Jate The
Logon Ki Bhir Me Laate The
Aur Dhol o Tawal Bajvaate The
Haste The Wo Ham Par Wawaila
Saadaat Ke Gham Par Wawaila
Shaam Ki Raahon Me Jitna
Sarkashon Ne Tadpaya, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Abbas Aur Baba Ka Sar Wo
Phuphiyon Ke Samne Rakhte The
Akbar Aur Qasim Ke Sar Se
Mere Samne Shaami Khelte The
Kahti Thi Sakina Wawaila
Ae Shahe Madina Wawaila
Haye Shohda Ke Saron Per
Daurna Wo Ghoron Ka, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Ik Mor Pe Shaami Logon Ne
Jab Aagh Gharon Se Barsayi
Wo Aagh Bujhata Main Kaise
Jo Mere Amame Par Aayi
Mere Haath Bandhe The Wawaila
Hañ Sab Dekh Rahe The Wawaila
Jal Gaya Mera Amaama
Jal Gaya Sar Bhi Mera, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Wo Subho Se Lekar Shaam Talak
Galiyon Me Phirate The Hamko
Bazaar Me Sabke Samne Wo
Durre Bhi Lagate The Hamko
Logon Ko Bulakar Wawaila
Ye Kahte The Sitamgar Wawaila
Ye Hain Baghi Inko Maro
Waqt Tha Ham Par Kaisa, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Han Karbobala Se Shaam Talak
Ham Aik Rasan Me Jakde The
Allah Allah, Ahle Khaibar Aur Khandak Ke
Ghar Ke Aage Se Jab Guzre
Phuphiyon Ka Wo Rona Wawaila
Zalim Ka Wo Kahna Wawaila
Ye Ali Ki Betiyan Hain
Aao Inse Lo Badla, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Han Ik Bazar Aisa Bhi Tha
Khuddam Jahan Par Bikte The
Afsos Ghulamon Ki Tarhan
Wo Hamko Bechna Chahte The
Haye Haye Haye
Ye Ham Kahte The Rokar Wawaila
Allah Madad Kar Wawaila
Koi Bhi Aisa Nahi Tha
Jisne Patthar Na Mara, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Zeeshan e Aza Irfan e Aza
Sajjad Ne Ro kar Farmaya
Hamen Aise Maqamon Par Rakkha
Jahan Chhat Thi Na Koi Saya Tha
Han Din Ki Wo Garmi Wawaila
Aur Raat Ki Sardi Wawaila
Pyas Ki Halat Me Na Poonchho
Kitna Mushkil Tha Jeena, Wallah
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Ho Gayi Majlis Barpa, Ho Gaya Matam Barpa
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon