Qaidi Hai Beemar Lyrics - Ameer Hasan Aamir
Let’s Check Out The Qaidi Hai Beemar Lyrics, Recited by Ameer Hasan Aamir. It is a New Noha of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Bilal Kazmi.
Title
Qaidi Hai Beemar
Recited By
Written By
Bilal Kazmi
Qaidi Hai Beemar Lyrics in English
Dekh kar bekasi bhatije ki
boli roo roo ke zainab-e-lachar
ab na barsao pusht par koode
marna jaaye kahin mera bimar
Qaidi Hai Bimar
Har lamha koodon ki aziyat
durron ki uftaad
haay mere bimar ki gurbat
kisse kare faryaad
haay kisse kare faryad
sab raste kaaton se bhare hai
chalna hai dushwar
Qaidi Hai Bimar
Tauqe garahn hai gardan me
aur pairoon me zanjir
sar hai jhukaye sharm ke maare
ibn-e-shahe dilgeer
haay ibn-e-shahe dilgeer
sath haram hai beparda
aur sham ka hai bazar
Qaidi Hai Bimar
Sabr kiye ayyub tumhare
paas kahan tasvire
dhup hai aise jalne lagi hai
loohe ki zanjire
haaye loohe ki zanjire
saare badan me pad gaye chaale
haaye mera bimaaar
Qaidi Hai Bimar
qaide sitam me maut jo aayi
binte shahe muztar ko
khoon bhare kurte me ye kehkar
dafn kiya khwahar ko
haaye dafn kiya khwahar ko(x2)
tujko kafan bhi de nahi sakta
bhayi hai laachar
Qaidi Hai Bimar
thaambh ke bedi waqte safar
roo roo ke kaha maula ne
kaise katega sham ka rasta
ye to khuda hi jaane
haay ye to khuda hi jaane(x2)
aisi hai kuch zarfo nadahat
chalna hai dushwar
Qaidi Hai Bimar
mumkin hai maula ne kaha ho
laashe jari ke paas
dekh sako to dekh lo uth kar
mere chacha abbas
haay mere chacha abbas
aap ka beta ban ke chala hai
kunbe ka saalar
Qaidi Hai Bimar
sharm muje khaye jaati hai
kash abhi mar jaaun
is manzar ko dekh saku
taab kahan se laaun
haay taab kahan se laaun
be parda hai maa behne
aur sham ka hai darbaar
Qaidi Hai Bimar
sham ke jaanib kaise chali thi
paigambar ki aal
kaise padega Aamir usko
kaise likhun mai Bilal
haay kaise likhun mai bilal
aage aage naize par tha
farte shahe abraar
Qaidi Hai Bimar
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon