Tor Ker Band E Kafan Mujh Ko Bula Lo Amma Lyrics - Mir Hasan Mir
Let’s Check Out The Tor Ker Band E Kafan Mujh Ko Bula Lo Amma Lyrics, Recited by Mir Hasan Mir. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mir Takallum.
Title
Tor Ker Band E Kafan Mujh Ko Bula Lo Amma
Recited By
Written By
Mir Takallum
Tor Ker Band E Kafan Mujh Ko Bula Lo Amma Lyrics in English
Tor Ker Band E Kafan Mujh Ko Bula Lo Amma
Karbala Wale Musafir Ko Sambhalo Amma
Tor Ker Band E Kafan Mujh Ko Bula Lo Amma
Abhi Kuchh Dair To Thehro Mera Phatta Hai Jigar
Paas Tum Bhi Mere Nana Ke Chali Jana Magar
Aakhri Bar Kaleje Se Laga Lo Amma
Bin Tumhare Nahi Manzoor Ye Jeena Mujh Ko
Raas Aaye Ga Kahan Ab Ye Madina Mujh Ko
Le Chalo Saath Kafn Main Hi Chhupa Lo Amma
Jab Se Mara Hai Sitamgr Ne Tamacha Tum Ko
Aankh Bhar Kar Nahi Shabar Ne Hai Dekha Tum Ko
Ik Nazar Rote Huwe Bete Pe Dalo Amma
Dil Nahi Manta Kis Tarha Ye Bardasht Karon
Dekh Kar Ap Ke Qatil Ko Main Khamosh Rahon
Is Aziyat Se Kisi Tarhan Nikalo Amma
Jab Talak Tum Na Bulao Gi Na Aaye Ga Hussain
Pyar Maa Bete Ka Dunya Ko Dikhaye Ga Hussain
Aaj Pehlo Se Zara Hath Hata Lo Amma
Tum Na Ho Gi To Main Dunya Main Jiyon Ga Kaise
Aaj Maa Bete Ka Ik Sath Janaza Uthe
Aik Janat Se Kafan Or Mangalo Amma
Qatl Mohsin Ka Huwa Or Main Khamosh Raha
Aap Par Zulm Huwa Or Main Khamosh Raha
Ab Khamoshi Se Meri Pehra Utha Lo Amma
Karbala Wale Musafir Ko Sambhalo Amma
Sath Jayen Ge Wahan Sare Behn Bhai Abhi
Jahan Rone Ki Shikayat Na Kare Ga Koi
Door Yasrab Se Koi Basti Basa Lo Amma
Maa Ki Maiyat Pe Bhi Rehwar Se Girte Dam Bhi
Sheh Ne Aawaz Takallum Usi Andaz Main Di
Apne Mazloom Ko Godi Main Utha Lo Amma
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon