Tejani Brothers
Mir Hilal
Aao Bacho Sab Mil Ke Bolo
Pyare Hain Hussain Hamare Hain Hussain
Jan Se Pyara Maula Hamara Maula Hamara
Yeh Chote Chote Se Pyare Bache Ye Keh Rahe Hain
Hamari Sansen Aza E Sarwar Ke Waste Hain
Hasil E Duniya Maula Hamara Maula Hamara
Jan Se Pyara Maula Hamara Maula Hamara
Jari Ka Parcham Buland Ho Kar Ye Keh Raha Hai
Yazeed E Bad Ko Mili Na Baiyat Wo Mit Gaya Hai
Zulm Se Jeeta Maula Hamara Maula Hamara
Jan Se Pyara Maula Hamara Maula Hamara
Woh Zair E Khanjar Tha Sajda Jis Se Hai Deen Qayem
Mili Hai Insaniyat Ko Jis Se Baqaaye Dayem
Hai Dill E Zahra Maula Hamara Maula Hamara
Jan Se Pyara Maula Hamara Maula Hamara
Yeh Kale Kaprhe Ye Soz O Noha Paye Aza Hain
Ye Anjuman Ye Juloos Matam Meri Baqa Hain
Dill Mein Hai Rehta Maula Hamara Maula Hamara
Jan Se Pyara Maula Hamara Maula Hamara
Namaz O Roza Azan O Masjid In Hi Se Baqi
Lahoo Khud Apna Pila Ke Deen Ka Bana Hai Saaqi
Sab Ka Hai Nara Maula Hamara Maula Hamara
Jan Se Pyara Maula Hamara Maula Hamara
Hua Hain Tejani Bhai Sare Shareek E Pursa
Hilal Ro Kar Parhen Gy Ab Yeh Salam O Noha
Tha Bahut Pyasa Maula Hamara Maula Hamara
Jan Se Pyara Maula Hamara Maula Hamara











