Woh Bakamal Hai Lyrics - Nadeem Sarwar
Let’s Check Out The Woh Bakamal Hai Lyrics, Recited by Nadeem Sarwar. It is a New Manqabat of the Year 2009. Its Beautiful Lyrics Are Written By Rehan Azmi.
Title
Woh Bakamal Hai
Recited By
Written By
Rehan Azmi
Woh Bakamal Hai Lyrics in English
Ya Umme Abeeha, Ya Umme Faqiha
Ya Ashraf un Nisa, Ya Fatima Zahra
Ya Umme Abeeha, Ya Umme Faqeeha
Ya Ashraf un Nisa, Ya Fatima Zahra
Ya zahra, Ya zahra, Ya zahra, Ya Zahra
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Palay Hain Khon Se Abu Talib Ne Chand Phol
Ik In Mein Hai Imam Tu Hai Dosra Rasool
Ik Asal e Deen Dosra Hai Deen Ka Usool
Jo Inka Hai Khiyal Khuda Ka Khiyal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Awwal Imam Ali Hai Imamat Ka Tajdar
Imran Ke Chaman Mein Jo Laya Nayi Bahar
Jis Ko Atta Ki Khaliq-e-Akbar Ne Zulfiqar
Jiska Wajood Deen-e-Muhammad Ki Dhaal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Baad-e-Ali Hasan Hai Risalat Ka Aina
Tora Hia Jis Ne Takht-o-Hakomat Ka Aina
Hai Ho-Bahu Rasool Ki Seerat Ka Aina
Kata Qalam Se Jis Ne Burai Ka Jaal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Paida Hoye Hussain Alaihis Salam Jab
Jibreel Dar Pe Aaye Salami Ko Ba-Adab
Bolay Piyam Deta Hai Dono Jahan Ka Rab
Hum Ko Pasand Dil Se Yeh Zahra Ka Lal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Ik Phool Fatima Ka Ibadat Ka Zaib-o-Zain
Zain-ul-Iba Woh Abid-o-Sajid Dil-e-Hussain
Sajday Ko Jiske Pyar Kare Rab-e-Mashraqain
Khutbon Mein Jiske Tamkanat-e-Zoljilal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Baqir Bhi Aik Phol Hai Sehan-e-Batool Ka
Jiski Ragoon Mein Khoon Ali Our Rasool Ka
Mushkil Kusha Jahan Mein Woh Har Dil Malol Ka
Nasal-e-Abu Jehal Ka Issi Se Qattaal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Ik Sadiq-ul-Khiyal Hai Woh Sadiq Al-Wajood
Jafar Hai Jafri Ke Shajar Ki Hai Woh Namood
Maqbool Bargah-e-Khuda Jiske Hai Sajood
Iski Faqar Ke Tabay Muhammad Ki Aal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Ik Lal Inka Mosi-e-Kazim Falak Asas
Jiske Badan Pe Jad Ki Shariyat Ka Hai Libas
Ilm-e-Nabi Ki Sari Fiza Iss Ke Aas Pas
Jad Ki Tarha Se Deen-e-Nabi Ki Woh Dhaal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Mashad Mein Aik Lal Ka Dar-ul-Shifa Bhi Hai
Rab Ki Riza Hai Iss Ki Riza Woh Raza Bhi Hai
Iss Dar Se Jis Ne Manga Hai Jo Kuch Mila Bhi Hai
Rozay Se Jiske Khota Nahi Rad Sawal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Taqwa Mein Aik Phol Taqi Ta-Had-e-Khiyal
La-Raib Woh Zamane Mein Be-Misal-o-Be-Misaal
Khush Fikar-o-Khush Mizaj-o-Khush Bakht-o-Be-Misal
Ajdad Ki Kitab Ka Har-e-Kamal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Ab Hai Naqeeb-e-Haq-o-Sadaqat Naqi Ki Bat
Yeh Bat Hai Nabi Ki Yehi Ali Ki Baat
Burj-e-Daham Mein Aa Hi Gayi Roshni Ki Baat
Iss Ke Amal Se Kufar Ke Sheshay Mein Baal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Askar Mizaj Lashkar-e-Emaan La Lashkari
Qamat Mein Mustafa Hai Jo Seerat Mein Hai Ali
Iss Ke Pisar Ke Dam Se Qayamat Ruki Hoi
Khamoshiyon Mein Jis Ki Bala Ka Jalal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
Tazeem Ka Hai Waqt Ab Aaya Hai Oss Ka Naam
Qayam Hai Jiske Dam Se Zamane Ka Kul Nizam
Naam Aaye Jis Ke Lab Pe To Wajib Howa Salam
Ab Qatil-e-Hussain Ka Bachna Mohaal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
REHAN WasfeAal e Muhammad Biyan Ho
Midhat Sarai Ke Liye Ik Noha Khuwan Ho
Sarwar Ka Jo NADEEM Ho Ahl e Zaban Ho
Iss Zikar Ki Asas Mein Rab Ka Jamal Hai
Woh Bakamal Hai Woh Bamisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Woh Lazawaal Hai
Awalona Mohammad, Osatona Mohammad
Aakhirona Mohammad, Kullona Mohammad
وہ باکمال ہے وہ بے مثال ہے
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon