Magar Fatima Fatima Hai Lyrics - Mir Hasan Mir
Let’s Check Out The Magar Fatima Fatima Hai Lyrics, Recited by Mir Hasan Mir. It is a New Manqabat of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mir Takallum.
Title
Magar Fatima Fatima Hai
Recited By
Written By
Mir Takallum
Magar Fatima Fatima Hai Lyrics in English
Ya Fatima Ya Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Fatima Fatima Fatima Fatima
Fatima Fatima Fatima Fatima
Fatima Fatima Fatima Fatima
Har Nabi Hujat e Kibriya Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Zikar Quraan Mein Sab Ka Huwa Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Panjtan Ko Bana Kar Khuda Ne Kaha
Hai Mujasam Mashiyat Meri Mustafa
Meri Marzi Ka Malik Ali Murtaza
Meri Qudrat Hussain o Hasan Fatima
Khalq Panchon Ko Main Ne Kiya Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Tujh Par Khul Jaye Ga Parh Hadees e Kisa
Kis Tarha Panjtan Ka Taruf Howa
Rab Ne Sabit Yeh Hum Fatima Se Kiya
Aik Hi Zaat Hai Markaz e Innama
Han Khud Muhammad Bhi Zair e Kisa Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Ik Ki Khatir Haram Ko Sajaya Gaya
Ik Ke Hujray Ko Qibla Banaya Gaya
Ik Ke Betay Musalay Pe Aate Rahe
Ik Ko Kabay Ke Andar Bulaya Gaya
Umm e Haider Bhi Ik Fatima Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Samarra Se Yehi Aa Rahi Hai Sada
Lailatul Qadar Ko Kaun Samjhay Bhala
Sare Masoom Hain Hujjat e Kibriya
Hujjaton Pe Hai Hujjat Magar Fatima
Hum Mein Har Ik Hijab e Khuda Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Har Nabi Hujat e Kibriya Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Main Taqabul Karon Kab Yeh Oqaat Hai
Har Haqeeqat, Haqeeqat Ka Asbaat Hai
Sirf Umm e Abeeha Woh Ik Zaat Hai
Maa Muhammad Ki Hona Bari Baat Hai
Bilyaqeen Aamina Aamina Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Aa Gayin Fatima Aa Gayin Fatima
Aa Gayin Fatima Aa Gayin Fatima
Jibraeel e Ameen De Rahe Hain Sada
Aa Gayin Fatima Aa Gayin Fatima
Aaj Khush Hain Bohat Ashraf Al Anbiya
Aa Gayin Fatima Aa Gayin Fatima
Gir Ke Qadmo Pe Sheh Ke Woh Kehta Raha
Aye Ghafoor o Raheem Aye Sheh e Karbala
Tera Mujrim Tere Robaro Aa Gaya
Sheh Ne Seene Se Hur Ko Laga Kar Kaha
Jurm Tera Bohat Hi Bada Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Har Nabi Hujat e Kibriya Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Lanatein Kar Rahe Ho Abhi Tak Wasool
Kya Howa Zulm Se Tum Ko Hasil Hasool
Inn Ki Azmat Na Ki Tum Ne Dil Se Qabool
Zalimo Phir Bhi Baqi Hai Nam e Batool
Tum Ne Karna Tha Jo Kar Liya Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Teri Muthi Mein Bagein Hain Konain Ki
Tere Hathoon Mein Nabzein Hain Darain Ki
Kun Tajali Tere Naam Ke Ain Ki
Teri Mahkoom Madar Hai Hasnain Ki
Ya Ali Tera Rutba Siwa Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Umar Se Kam Nahi Hoti Azmat Kabhi
Aik Bachi Se Iss Ki Sand Hai Mili
Apni Dadi Ki Manind Hai Woh Jari
Kamsini Mein Woh Shahi Ulat Kar Rahi
Sin Bazahir Sakina Ka Kya Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Bolay Fizza Se Qambar Zara Ghoor Kar
Mere Maula Mein Hain Sab Khuda Ke Hunar
Raat Bhar Madh e Haider Woh Karta Raha
Wajad Tari Tha Fizza Pe Oss Dam Magar
Oss Ne Sab Maan Kar Bhi Kaha Hai
Shehanshahi Se Bhi Qeemati Hai
Habash Ko Chod Kar
Oss Se Munh Mood Kar
Syeda Ki
Yeh Jo Fizza Ne Ki Nokari Hai
Shehanshahi Se Bhi Qeemati Hai
Dehar Mein Dekh Lo Har Jagah Par
Bohat Mashoor Inn Ki Wafa Hai
Ik Hain Abbas Our Ik Hain Fizza
Farq Inn Mein Bhala Kaun Sa Hai
Mujh Se Pocho Tu Farq Wafa Ka
Ik Hai Chand Our Ik Chandni Hai
Lakh Mana Gunahgar Hai Aadmi
Hai Azadar Ki Hami Bint e Nabi
Fatima Ke Takallum Hain Mana Yehi
Hum Ko Dozakh Mein Jane Na De Gi Kabhi
Garchey Esiyaan Se Daman Bhara Hai
Magar Fatima Fatima Hai
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon