Nadeem Sarwar
Rehan Azmi, Nadeem Sarwar
Goonjti Fazayen Hain
Matami Sadayen Hain
Jis Taraf Nazar Dalen
Qaafle Hazaron Hain
Ya Hussain Ya Hussain...
Qaafilon Ke Seenon Main
Dard Ke Safeenon Main
Ashk O Khoon Ke Dhaare
Door Tak Alam Sare
Ya Hussain Ya Hussain...
Ye Karod Haa Insaa
Dekh To Ali Ki Jaan
Tere Gham Mein Hain Giriyaan
In Ki Karbala Manzil
Hai Hathailion Par Dill
Jhail Kar Har Ik Mushkil
Ik Sada Labon Par Hai
Tera Gham Rahe Aabad
Ae Hussain Zindabad...
Ya Hussain Ya Hussain...
Maulana Ya Hussain...
Zindabad Ya Hussain...
Zindabad Arz E Karbala
Maulana Ya Hussain...
Deen E Haq Ka Pasbaan
Rasool E Haq Ka Tarjuman
Hussainiat Ka Sayebaan
Muhabbaton Ka Aashiyan
Tu Nabi Ka Zaib O Zain Hai
Tu Ali Ka Noor E Ain Hai
Fatima Ke Dil Ka Chain Hai
LaEla Ya Hussain
Deen Panah Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain
Salam Shah E Karbala
Tu Irada E Khuda
Bada Baland Hosla
Nahi Hussain Doosra
Kabhi Kahin Na Tera Sar Jhuka
Baland Tha, Baland Ye Sar Raha
Hussain Izzaton Ka Badshah
Marhaba Ya Hussain
Chhaa Gya Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain
Pukare Ahl E Qafila
Hussain Ne Jo Ye Kaha
Safar Hai Ab Ye Maot Ka
Har Ik Rafeeq Bol Utha
Nahi Hai Koi Maot Ka Khatar
Hussain Jab Hamara Humsafar
Ajal Milaye Hum Se Kya Nazar
Rehnuma Ya Hussain
Paishwa Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain
Zulmaton Se Jang Ki
Bidaton Se Jang Ki
Nakhwaton Se Jang Ki
Munafiqon Se Jang Ki
Tu Nizam E Inqilaab Hai
Tu Payam E Inqilaab Hai
Tu Imam E Inqalaab Hai
Inqalaab Ya Hussain
Kamyaab Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain
Watan Se Apne Door Tha
Tu Mard E Be Qasoor Tha
Ghamon Se Choor Choor Tha
Magar Woh Kya Shaoor Tha
Sitam Utha Ke Hosh Mein Raha
Naheef Ho Ke Josh Mein Raha
Lahoo Se Surkh Posh Mein Raha
Josh Kya Ya Hussain
Hosh Kya Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain
Woh Sara Ghar Lutagaya
Woh Khoon Mein Nahagaya
Sinaa Pe Sar Bhi Aagaya
Magar Woh Deen Bachagaya
Gawahi De Rahi Hai Karbala
Hussain Kamyaab Hogaya
Yazeed Ka Nishaan Bhi Na Raha
Soorma Ya Hussain
Har Jagah Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain
Laraz Rahi Thi Karbala
Tadap Rahe The Anbiya
Jo Sajda Akhri Kiya
Nibah Ke Wada E Wafa
Na Zeen Na Zameen Par Raha
Gawah Hai Dua E Nahiya
Tadap Rahe Hain Hujjat E Khuda
Assalam Ya Hussain
Ya Imam Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain
Rehan O Sarwar E Aza
Hussain Ka Hai Mojza
Jo In Ke Dar Pe Aa Gaya
Misal E Hurr Sanwar Gaya
Pukarti Hai Sab Ko Karbala
Hussain Ka Hai Dar Khula Hua
Fakeer Ko Kare Jo Badshah
Rab Tera Ya Hussain
Sab Tera Ya Hussain
Zindabad Ya Hussain, Zindabad Ya Hussain
Zindabad Arz E Karbala, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain, Maulana Ya Hussain
Maulana Ya Hussain











