Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
Shaam E Gham Aa Gai Be Kasi Aa Gai
Shaam Ki Faoj Khaimon Talak Aa Gai
Aatish E Zulm Khaime Jalane Lagi
Mere Khuda Lab E Furaat Sayebaan Jal Gaya
Jale Khayaam Sayeda Ka Phir Makaan Jal Gaya
Shaam E Ghareban Main Haram Karte Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Chadaren Chin Gaiin Lut Gaya Maal O Zar
Khaima Dar Khaima Hai Bibion Ka Safar
Betian Fatima Ki Huiin Noha Gar
Tarhap Tarhap Ke Ya Ali Pukarti Thiin Bibian
Idhar Udhar Bas Apny Laal Dhundti Thiin Bibian
Jalne Laga Haye Udhar Bistar E Beemar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareban Main Haram Karte Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Kya Kary Zainab E Khasta Dil Kya Kare
Na Rahy Warisan E Haram Na Rahe
Raat Aai Nahi Aur Sab So Gaye
Dhuwan Dhuwan Fiza Lahu Lahu Hai Dasht E Karbala
Kisi Nashaib Sy Hai Mustaqil Sadaye Fatima
Nala E Ya Fatima Ya Haider E Karrar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareban Main Haram Karte Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Khak Par Aa Gaiin Bibian Noha Gar
Goud Mein Pyasy Bachon Ky Rakhy Hain Sar
Kis Ko Awaz Dain Haye Jayen Kidhar
Na Koi Bhai, Na Bhai Ka Pisar, Na Bhanja
Ali Ki Ladli Ny Bhai Ka Alam Utha Liya
Meer E Sadar Meer E Haram Zainab E Lachar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareban Main Haram Karte Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Haye Rehan O Sarwar Sare Karbala
Ho Ke Be Dast Ek Laasha E Bawafa
Dekhta Reh Gaya Qaafila Chal Diya
Salam Bay Kafan Badan Woh Jin Ke Sar Huye Juda
Salam Dukhtaran E Fatima Aseer O Bay Rida
Aik Rasan, Baara Galay, Koocha O Bazaar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareban Main Haram Karte Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar











