Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
chala mai wada nibhane salaam maa ke mazaar
salaam nana ke roze, salaam maa ke mazaar
mai tera deen bachaunga, ay mere nana
mai apna khoon bahaunga ay mere nana
hussain jaata hai marne, salaam maa ke mazaar
salaam nana ke roze....
meri shareeke safar banke, saath chal amma
safar pe jaata hu kapde mere badal amma
libaas-e-khuld saja de, badan pe phir ek baar
salaam nana ke roze....
dua karo koi sar berida, na ho amma
namaaz-e-shaukhe shahadat khaza na ho amma
na aaye mere chaman pe, sitam ki gardo ghuba
salaam nana ke roze....
diye jalane ko nana, tumhare roze par
zaroor aayegi sughra har ek shaam-o-sehar
khuda kare rahe roshan, sada tumhara mazaar
salaam nana ke roze....
tumhare jaisa hai nana, ye mera laal akbar
dua karo na lage isko aasman ki nazar
lutay na door watan se, hamare dil ka qaraar
salaam nana ke roze....
tamam phool se bache hai, aur garm hawa
hamare khoon ki pyasi hai fauje zulmo jafa
safar me koi shajar bhi, nahi hai saaya ada
salaam nana ke roze....
haan ek phool to aisa hai, jo khila bhi nahi
na paaye pani to kar sakta wo gila bhi nahi
wo jiske dehn se aati, hai doodh ki mehkaat
salaam nana ke roze....
meri sakina kahan aur, rasan ke bandh kahan
zameen-e-garm pe chalna usay pasand kahan
qadam wo phool se nazuk, wo raaste purkhaar
salaam nana ke roze....
yehi hai sarwaro rehaan, zindagi ka sharaf
kabhi ziarat-e-karbobala hai kabhi hai najaf
inhi fizaon may aati, hai shah-e-deen ki pukaar
salaam nana ke roze....











