Nadeem Sarwar
Hilal Naqvi
Khair Karey, Khuda Khair Karey
Us Taraf Zulm Pe Aamada Zamane Wale
Is Taraf Sare Muhammad Ke Gharane Wale
Kon Kis Ka Hai Tarafdar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Roz E Aashor Hawaon Se Barasta Hai Laho
Lut Gai Kis Ki Yeh Sarkaar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Yeh To Mumkin Hi Nahi Hai Ke Jhuka Den Sar Ko
Kya Karen Sahib E Kirdaar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Bhai Jate Hain Khuda Hafiz O Nasir Keh Kar
Behnen Kehti Hain Yeh Har Baar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Woh Jo Ghorhe Se Gira, Sath Gire Mashk O Alam
Na Alam Hai Na Alamdar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
KItne Sadme Hain Jo Sajjad Ko Sehne Hain Abhi
Bairhian Hoti Hain Tayar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Aaj Bhi Seenon Mein Zinda Hai Hussain Ibn E Ali
Saara Aalam Hai Azadar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Aane Wale Yunhi Aate Rahen Rozon Pe Sada
Kam Na Hon Aap Ke Zawwar, Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Sheh Ke Matam Mein Hilaal Aisi Fiza Goonj Uthi
Huye Larzaan Dar O Deewar Khuda Khair Karey
Karbala Ho Gai Tayar, Khuda Khair Karey
Yeh Qayamat Ke Hain Aasar, Khuda Khair Karey
Khair Karey, Khuda Khair Karey
Khair Karey, Khuda Khair Karey











