Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
lo hogayi rehaai lo khaafila chala
sar jab har ek shaheed ka sajjad ko mila
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
baba tumhara aaya, gaya waqt neend ka
seene pe sone wali matti pe sogayi
baba ko rote rote jo khamosh hogayi
ro ro ke maa ne khabre sakina pe ye kaha
jaag sakina jaag...
bibi karo salaam adab ka maqaam hai
bibi tere sarhane shahe tishna-kaam hai
ay jaan jaldi badlo ye kurta phata hua
jaag sakina jaag...
baba ko dhondti thi sakina utho utho
raton ko jaagti thi sakina utho utho
lo aagaye hai baba ay jaan jaag ja
jaag sakina jaag...
baba ke paas sona na sona zameen par
rakho labon ko lab par jabeen ko jabeen par
aada ki ghudkiyon ka zamana guzar gaya
jaag sakina jaag...
paighaam roz deti thi ammu ke naam tum
roti thi yaad karke unhe subho shaam tum
jaago ke ja rahe hai jahaan sote hai chacha
jaag sakina jaag...
kis tarha soyi baali sakina na poochiye
ranjo alam se phat-ta hai seena na poochiye
jaagi na phir kabhi wo bahot maa ne di sada
jaag sakina jaag...
sadiyan guzar gayi hai magar sarwar-o-rehaan
zindane shaam roye to rota hai aasman
ab-bhi pukarte hai yahi shaahe karbala
jaag sakina jaag...











