Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
Rasan Me Bandh Chuka Gala Lo Chal Pada Wo Khafila
Behan Ghareeb Nawhagar Sina Pe Jab Padi Nazar
Khamosh Thay Shaheed Sab Aqi Ke Hil Rahe Thay Lab
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Ghareebe Karbala Behan Diler E Bawafa Behan
Ghamo Ki Alqama Behan Meri Musafira Behan
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Wafae Wada Ho Chuka Sina Talak Mai Aagaya
Mai Apna Kaam Kar Chuka Meri Shareeke Karbala
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Ye Rassiyan Ye Bediyan Qadam Qadam Be Sakhtiyan
Rida Baghair Bibiyan Behan Kada Hai Imtehan
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Agar Hai Raasta Kathan Zara Na Darr Meri Behan
Tu Berida Mai Bekafan Hai Waqt Hausla Shikan
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Qadam Qadam Shahadatein Guzar Gayi Qayamatein
Abhi Hai Aur Aafatein Sambhaal Ab Amaanatein
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Koi Bhi Ab Nahi Bacha Bas Abid E Shakista Pa
Ye Saare Baane Ghamzada Bgiray Jo Khaake Ghash Zara
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Behan Teher Teher Yahin Laraz Rahi Hai Kyun Zameen
Sakina Girgayi Kahin Na Mil Sake Jo Woh Hazeen
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Bahot Qareeb Shaam Hai Hujoome Khaaso Aam Hai
Yazeede Bad Kalaam Hai Ye Waqte Inteqaam Haio
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon
Rehan O Sarwar E Aza Jo Shaam Pahuncha Khafila
Sare Hussain Ne Kaha Ulat De Takht Shaam Ka
Tu Hausla Na Haarna
Sina Pe Ho To Kya Huwa Tu Hausla Na Haarna
Behan Main Saath Saath Hon











