Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
Chahat Ka Meri Kaisa Ye Mujko Silaa Diya
Acha Kiya Baba Jo Mujko Bhula Diya
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Zinda Raho Hazaro Baras Shaadma Raho
Baba Zameen Pe Banke Sada Asaman Raho
Quran Tum Pe Saya Kare Tum Jahan Raho
Padti Hoo Har Namaaz Me
Padti Hoo Har Namaaz Me Baba Yehi Dua
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Baba Tumhare Baad Mai Kushiyo Se Dur Hoo
Lekin Tumhari Raah Mai Takti Zaroor Hoo
Bemaar o Naatwa Hoo Ghamo Se Mai Choor Hoo
Ab Ke To Din Bhi Eid Ka
Ab Ke To Din Bhi Eid Ka Rokar Guzar Gaya
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Raaton Ko Jaag Jaag Ke Karti Hoo Ye Dua
Kunbe Furaat Aaye Mere Dasht e Karbala
Darya Ke Pas Qaima Ho Sheh Ka Laga Huwa
Garmi Ke Din Hai Amma
Garmi Ke Din Hai Amma Ke Sar Par Rahe Rida
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Asghar Ko Bhej Do Ali Akbar Ko Bhej Do
Kuch Roz To Sahi Meri Maadar Ko Bhej Do
Koi Nahi To Bas Meri Khaahar Ko Bhej Do
Honton Pe Ab Tu Sughra
Honton Pe Ab Tu Sughra Ka Dam Hai Ruka Huwa
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Karta Hai Kaun Yu Bhi Mareezo Se Itna Pyar
Mai Gul Fiza Rasida Hoo Tum Ho Meri Bahaar
Waise Bhi Ab Naseeb Me Mere Hai Intezaar
Bujta Huwa Charaag Hoo
Bujta Huwa Charaag Hoo Apne Mazaar Ka
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Haa Ye Khalak He Amma Ne Mujko Kiya Na Yaad
Akbar Ko Lene Aayenge Kitna Tha Ehtemad
ALLAH Ab To Poori Karega Meri Muraad
Aayega Jab Madine Me
Aayega Jab Madine Me Karbal Ka Khafila
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Lagta Hai Meri Khabr Pe Aaoge Ae Padar
Wo Bhi Agar Pahuch Gayi Takdeer Se Khabar
Talkheen Padh Na Paaoge Baazu Ko Thaam Kar
Tanhaiya Uthayengi
Tanhaiya Uthayengi Taabut Bhi Mera
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Ae Sarwar o Rehaan Koi Jake Ye Kahe
Sughra Wo Saaneha Kahan Maloom Hai Tujhe
Baba Shaheed Hogaye Bhai Nahi Rahe
RoRo Ke Roz Kisko
RoRo Ke Roz Kisko Tu Deti Hai Ab Sada
Baba!
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Acha Kiya Baba
Jo Mujko Bhula Diya
Baba!











