Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
Yasrab Se Soo e Karbala Ek Karwan Rukhsat Hua
Sar Pe Alam Saya Figan Ghazi Ki Ati Hai Sada
Pehla Safar Zainab Ka Hai Sunsan Kar Do Rasta
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Kya Shan Hai Kya Dabdaba Kya Log Hain Quran Numa
Salle Alaa Salle Alaa Aayaat Ka Hai Qafila
Mashk O Alam In Ka Nishan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Allah Ke Pyare Hain Ye Aal E Nabi Sare Hain Ye
Quran Ke Paare Hain Ye Konain Ke Taare Hain Ye
Zair E Qadam Hai Aasman Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Koi Shabeeh E Mustafa Koi Hasan Ka Dilruba
Hai Koi Aks E Sayeda Shabbir Ka Ye Qafila
Thamy Alam Jo Hai Jawan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Yasrab Se Taaba Karbala Har Din Tawaf E Qafila
Abbas Karta Hi Raha Parde Ka Zimedaar Tha
Yun Mutmain Thiin Bibian Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Abbas Woh Kirdaar Hai Bad E Ali Salaar Hai
Aisa Alam Bardaar Hai Maidan Mein Be Talwar Hai
Phir Bhi Alam Ka Pasbaan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Lo Aa Gaya Us Ka Alam Ghazi Jise Kehte Hain Hum
Kehte Chalo Yeh Dam Badam Abbas Meer E Lashkaram
Babul Hawaij Mehrbaan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Jab Sham Pahuncha Qafila Khutba Yeh Zainab Ne Diya
Sun Le Yeh Qaom E Ashqiya Hum Hain Binaaye La Ilaa
Kashti Hai Deen Hum Badbaan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan
Han Hashr Mein Mola Ali Ye Sarwar O Rehan Bhi
Nazr E Karam Se Ap Ki Rakhte Hain Ummed E Qawi
Nohon Se Den Ge Ye Bayan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan











