Nadeem Sarwar
Nadeem Sarwar, Hilal Naqvi
Ik Shor Hai Abbas Hai Abbas
Dariya Pe Jo Pahuncha Asadullah Ka Pyara
Lalkar Ke Phir Faoj Ko Ghazi Ye Pukara
Tum Sab Yehi Kehte Thy Ke Dariya Hai Hamara
Ab Dekho Ke Dariya Hai Hamara Ke Tumhara
Lo Chheen Lo Ye Hum Hain Ye Qabza Hai Hamara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Lo Chheen Lo Ye Hum Hain Ye Qabza Hai Hamara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas E Alamdar Alamdar Alamdar
Main Haider E Karrar Ke Saye Mein Pala Hun
Main Fatima Zehra Ki Duaon Ka Sila Hun
Abbas Mera Naam Alamdar E Wafa Hun
Ye Nam O Nasab Hai Meri Qismat Ka Sitara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Lo Chheen Lo Ye Hum Hain Ye Qabza Hai Hamara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Aaqa Ki Duaon Ka Karam Sath Hai Mere
Dekho Bani Hashim Ka Hasham Sath Hai Mere
Rutba Hai Alamdar Alam Sath Hai Mere
Lehra Ke Pharaira Bhi Yeh Karta Hai Ishara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas E Alamdar Alamdar Alamdar
Sahil Pe Jo Yeh Faoj Ke Daste Hain Tumhare
Ik Aan Mein Paiwand E Zameen Hon Abhi Sare
Darya Ulat Aye Abhi Qadmon Mein Hamare
Ik Hashr Bapa Kar Dun Main Kar Dun Jo Ishara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Lo Chheen Lo Ye Hum Hain Ye Qabza Hai Hamara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Khat Bhej Ke Tum Ne Jinhen Yasrab Se Bulaya
Mehman Thy Lekin Unhen Darya Se Hataya
Pyasae Hi Rahe Woh Unhen Pani Na Pilaya
Allah Ne Jin K Liye Kosar Ko Utara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas E Alamdar Alamdar Alamdar
Yeh Hukm Hai Aaqa Ka Na Talwar Uthana
Warna Meri Zarbon Se Larazta Yeh Zamana
Ye Faoj E Jafakaar Ye Zalim Ka Thikana
Ik Naize Se Naqsha Hi Badal Jaye Ga Sara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Lo Chheen Lo Ye Hum Hain Ye Qabza Hai Hamara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Kya Faoj Ki Tadad Batate Ho Hamen Tum
Hum Dekhen Keh Kis Tarha Hatate Ho Hamen Tum
Kis Hakim O Jabir Se Darate Ho Hamen Tum
Ab Nam Na Lena Kisi Hakim Ka Dobara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas E Alamdar Alamdar Alamdar
Pyasa Hun Magar Sun Len Sabhi Dushman E Jani
Pani Mujhe Peena Nahi Le Jana Hai Pani
Haye Mere Masoomo Ki Woh Tishna Dahani
Hai Mashk E Sakina Un Hi Pyason Ka Sahara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Lo Chheen Lo Ye Hum Hain Ye Qabza Hai Hamara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Tareekh Ne Dekha Na Hilal Aisa Wafadar
Abbas E Alamdar Alamdar Alamdar
Tareekh Ne Dekha Na Hilal Aisa Wafadar
Ab Bhi Hai Tarai Ki Zameen Par Woh Dil Afgaar
Woh Dekh Zara Roza E Abbas E Alamdar
Ik Zinda Gawahi Hai Yeh Marqad Ka Nazara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Abbas Ka Nara Hai Alamdar Ka Nara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Lo Chheen Lo Ye Hum Hain Ye Qabza Hai Hamara
Darya Hai Hamara Darya Hai Hamara
Ek Shor Hai Darya Hai Hamara











