Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
Abbas E Ali Aaye Khareeb E Shah E Abrar
Bhai Ko Alam De Ke Kiya Sheh Ne Bahot Payar
Has Has Ke Rafeeko Se Ye Karne Lage Guftar
Jesi Ye Meri Fauj Hai Waisa Hi Alamdar
Ghazi Sa Koi Deen Ka Sardar Na Hoga
Abbas Sa Dunya Me Alamdar Na Hoga
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Hashim Ka Qamar Haider E Karar Ka Pyara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Haider Ke Gharane Ki Saqawat Sakhi Abbas
Khoon E Abu Talib Ki Sadaqat Sakhi Abbas
Zehra Ki Dua'on Ki Taharat Sakhi Abbas
Khudrat Ne Banaya Nahi Phir Aisa Dubara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Quran E Wafa Sher E Nayastan e Ali Hai
Zehra Ki Tamanna Hai Dil O Jaan e Ali Hai
Is Ke Liye Bachpan Hi Se Farman E Ali Hai
Mai Ilm Ka Darya Hoo Ye Darya Ka Kanara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Paida Huve Abbas To Godi Me Utha Kar
Zainab Ne Rakha Naam Kaleje Se Laga Kar
Chota Sa Alam Sheh Ne Diya Unko Saja Kar
Dekha Jo Alam Ne To Alam Khud Ye Pukara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Ye Panjetan E Paak Ke Lashkar Ka Nishan Hai
Kehte Hai Ye Shabbir Mera Sher E Jawan Hai
Aaisa Koi Dunya Me Alamdar Kahan Hai
Sehwan Se Hai Shehbaz Qalandar Ka Ye Nara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas E Ali Rooh e Wafa Jaan e Wafa Hai
Abbas E Ali Fatema Zehra Ki Dua Hai
Har Waqt Alam Choomti Rehti Ye Hawa Hai
Bhoola Nahi Abbas Ko Darya Ka Kanara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Dunya E Shahadat Me Kahan Uska Hai Saani
Jo Saare Shaheedo Ki Safon Me Raha Ghazi
Bedast Bhi Ho Kar Jo Bhare Jholiyan Sabki
Hashim Ka Qamar Saare Fakeeron Ka Sahara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Haider Ke Gharane Ki Saqawat Sakhi Abbas
Khoon E Abu Talib Ki Sadaqat Sakhi Abbas
Zehra Ki Dua'on Ki Taharat Sakhi Abbas
Khudrat Ne Banaya Nahi Phir Aisa Dubara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Ye Panjetan E Paak Ke Lashkar Ka Nishan Hai
Kehte Hai Ye Shabbir Mera Sher E Jawan Hai
Aisa Koi Dunya Me Alamdar Kahan Hai
Sehwan Se Hai Shehbaz Qalandar Ka Ye Nara
Saqi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Laazim Hai Ke Hum Dekhenge Ik Roz Ye Manzar
Farmayenge Jab Mehdi E Daura Sar e Mimbar
Kaabe Se Namudar Jo Hoga Mera Lashkar
Hoga Yehi Lashkar Ka Alamdar Hamara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Yaad Aata Hai Wo Ruqsate Abbas Ka Manzar
Wo Rona Sakina Ka Pharayre Ko Pakad Kar
Wo Dekhna Zainab Ka Kabhi Sar Kabhi Chadar
Kehti Thi Palat Aayein Behen Bhai Ka Pyara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Gaye Hogaya Mola Mera Tanha
Dekha Kabhi Maidan To Kabhi Janib e Darya
Nagaah Alam Nehr Pe Girte Huwe Dekha
Zainab Se Kaha Sher Gaya Nehr Pe Mara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Ae Sarwar O Rehan Ye Emaan Hai Apna
Abbas Ke Parcham Ka Sada Sar Pe Hai Saaya
Padne Ke Liye Hashr Me Shabbir Ka Noha
Abbas Bulayenge Hame Kar Ke Ishara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Hashim Ka Qamar Haider E Karar Ka Pyara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara











