Mir Sajjad Mir
Mir Sajjad Mir
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Ashoor o Arbaeen Pe Hum Ko Bula Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Sajde Ne Tere Deen Ki Izzat Barhai Hai
Teri Namaz Kaby Ke Bhi Kam Aai Hai
Zinda Hai Tere Naam Se Nam E Khuda Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Hai Kitne Momineen Jo Hajj Par Na Ja Sake
Bethe Hain Apne Dill Mein Ye Armaan Liye Huye
Is Saal Tere Roze Pe Hajj Ho Ada Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Kya Karbala Hai Sirf Ameeron Ke Waste
Kya Door Se Hi Dekh Ke Mazdoor Khush Rahe
Koi Sabeel Koi To Rasta Bana Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Awaz De Qadam Nahi Pechy Hataun Ga
Koi Kahe Ga Hath To Gardan Kataun Ga
Is Khadim E Habib Ka Wada Raha Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Ay Karbala Ke Syed O Sardar Assalam
Sooraj Tawaf Kar Ke Yeh Kehta Hai Subh O Sham
Tere Diye Se Jalta Hai Mera Diya Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Kis Ko Dikhayen Zakhm Maseeha Koi Nahi
Mola Hamara Poochne Wala Koi Nahi
Hai Kon Ham Ghareebon Ka Tere Siwa Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Qasim Ka Lasha Dasht Mein Pamal Kar Diya
Quran Hasan Ka Dasht Mein Sara Bikhar Gaya
Tukron Ke Us Ke Ati Thi Phir Bhi Sada Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Teri Yateem Bachi Bhi Peeche Nahi Hati
Panjon Ke Ball Chali Hai Wo Lekin Nahi Ruki
Ye Kehte Kehte Aa Gai Us Ko Qaza Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain
Sar Tha Tere Ghareeb Ka Pathar Ke Waar Pe
Tere Pisar Ke Pairon Ke Chaalon Mein Khaar Thy
Phir Bhi Zubaan Se Kehta Tha Beta Tera Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain
Sajjad Wohi Bante Hain Bas Zayer E Imam
Apne Qalam Se Likhte Hain Abbas Un Ke Naam
Ghazi Se Keh Ke Karbala Hum Ko Bula Hussain
Labaika Ya Husssain Labaika Ya Husssain











