Mir Sajjad Mir
Mir Sajjad Mir
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Jo Dekha Koi Bhi Piyasa Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Churee Chalanay Se Pehlay Kisi Zabehe Par
Jab Usko Pani Pilaya Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Woh Jis Ka Koi Bhi Waris Nahi Tha Duniya Mein
Kafan Jab Usnay Bhi Paaya Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Kisi Yatima Ko Maiyat Se Uskay Baba Ki
Jo Pyar Kar Ke Hataya Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Nazar Mein Phir Gaya Kadiyal Jawan Ka Lasha
Kisi Ne Baandha Jo Sehra Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Jawan Bhai Ke Lashay Ko Aik Bhai Ne
Jo Ro Ke Seenay Lagaya Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Khushi Kahan Hui Sghra Ka Dard Aur Barha
Jo Chaand Eid Ka Dekha Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Pakar Ke Baap Ka Daman Kisi Bhi Bachi Ne
Nah Jayen Baba Jo Bola Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Mera Pesar Huwa Jis Roz 6 Mahine Ka
Btaon Kaisay Mein Kitna Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Lapat Lapat Gayi Turbat Se Sani E Zohra
Bani Jo Qabar Sakina Ain Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye
Hamesha Karbobala Ke Safar Pay Ae Sajjad
Gilay Jo Maa Ne Lagaya Hussain Yaad Aaye
Utha Jo Koi Janaza Hussain Yaad Aaye











