Mesum Abbas
Jawad Jaffri
Shah ast Hussain Badshah ast Hussain
Deen ast Hussain Deen Panah ast Hussain
Maa Naukar Mola Saeen jo
Haan Karbal ware Saeen jo
Mere Syed Mere Sardar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Wallah Tere Ibne Haider
Charche Hain Sakhawat Ke Ghar Ghar
Rahib Ko Diye Hain Saath Pisar
Man Misli Hai Fitrus Ke Lab Par
Hum Par Bhi Mehez Ek Baar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Tum Murshid Ho Tum Aaqa Ho
Hum Mangte Tum Andaata Ho
Hum Adna Hain Tum Aala Ho
Hum Maulayi Tum Maula Ho
Tum Karte Nahi Inkaar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Allah o Nabi Ke Pyaare Ho
Zehra Ke Raj Dulaare Ho
Quran e Ali Ke Paare Ho
Tum Chashme Hasan Ke Taare Ho
Qudrat Ka Haseen Shahkar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Hai Wird Bari Ajmeri Ka
Kehna Hai Shams Noorani Ka
Bolay Har Bait Bhitayi Ka
Nara Hai Lal Sehwani Ka
Hai Tera Khula Darbar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Sindh Waalon Ki Hai Shaan Yahi
Mehran Ki Hai Pehchaan Yahi
Har Lab Par Hai Elaan Yahi
Apna To Hai Emaan Yahi
Hum Aapke Hain Hubdaar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Kayo Mola Saeen Manzoor Dua
Mukhe Bhi Ghurayo Karbobala
Tum Se Hai Mualla Karbobala
Hai Noori Tajalla Karbobala
Kaabe Ka Hai Kaaba Karbobala
Nabiyon Ka Musalla Karbobala
Karte Hain Dua Zawaar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Khaliq Ki Mohabbat Miljaye
Naukar Ko Ijazat Miljaye
Mola Ye Saadat Miljaye
Hum Ko Bhi Shahadat Miljaye
Kehte They Sabhi Ansar
Karo Apna Karam Sarkaar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Abbas Ka Lasha Wawaila
Akbar Gaya Mara Wawaila
Tum Rehgaye Tanha Wawaila
Ye Sabr Tha Kaisa Wawaila
Kehti Hi Rahi Talwar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen
Jawad aur Mesum Ki Hai Sada
Hum Tere Bikhaari Hain Maula
Jo Rizk Bhi Hai Humko Milta
Hai Sadqa Tere Asghar Ka
Hum Tere Hain Namakhaar
Karo Apna Karam Sarkar
Hussain Saeen, Hussain Saeen











