Farhan Ali Waris
Mazhar Abidi
Khaimo Main Alam Aya Alamdar Na Aya
Shabbir Ne Zainab Ko Yehi Noha Sunaya
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Tooti Hai Meri Qamar Lut Gayi Sarkar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Haatho Main Kooza Lye Bethe Hain Pyasay
Hai Sub Ko Aas Zainab Us Bawafa Se
Mun Hum Se Moor Gaya Ghurbat Main Chor Gaya
Dil Mera Kehta Hai Ab Jeena Hai Bekar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Kehti Thi Meri Bachi Ayga Pani
Usko Sunado Zainab Ghum Ki Kahani
Mara Gaya Sakka Kunba Raha Pyasa
Pyaso Pay Ho Gaya Qurban Woh Salaar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Mashk E Sakina Cheedi Kat Gay Shaanay
Kaise Zameen Par Aya Allah Hi Janay
Gurz Tha Sar Pay Laga Aankh Main Teer Bhi Tha
Uthna Chaha To Na Uth Paya Woh Jarrar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Jab Main Pohcha Laasha Uthanay
Ki Thi Mujh Se Wasiyat Us Bawafa Ne
Lasha Khaimo Main Mera, Aaqa Le Kar Na Jana
Yeh Keh Kay Chor Gaya Mujh Ko Wafadar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Mujh Pay Chalay Ga Khanjar Khaimay Jalengay
Chadar Cheenay Gi Teri Baazo Bandhenge
Sab Ka Ghumkhuwar Hoga Mera Beemar Hoga
Ab Tak Abbas Tha Ab Tu Hi Hai Salaar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Mola Ka Noha Tha Yeh Farhan O Mazhar
Farsh E Aza Bechao Ay Meri Khuwahar
Ao Ab Zair E Alam Barpa Karain Matam
Hum Hain Us Bawafa Kay Pehle Azadar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab
Darya Pay Mara Gaya Tera Alamdar Zainab
Zainab Zainab Zainab, Zainab Zainab Zainab











