Farhan Ali Waris
Zamin Naqvi
Bint E Ali Ka Hai Noha
Kaise Main Shaam Jaongi Baba
Pas e Gardan Rasan Bandhi Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba
Maine Sooraj Na Umar Bhar Dekha Tha
Ab To Dekhungi Har Gali Baba
Baazo Chume Jo Tumne Ghazi Ke
Main To Uss Din Hi Mar Gayi Baba
Main Kaha Kufa Or Shaam Kaha
Kya Main Naazo Ki Na Pali Baba
Jaise Haq Apna Maan Ne Manga Tha
Waise Chadar Main Mangungi Baba
Ab Woh Bibi Chale Gi Kaanto Par
Jo Na Paidal Kabhi Chali Baba
Noha Zamin Yeh Karti Thi Bibi
Zakham Kitne Uthaongi Baba
Boli Bibi Ye Mazhar O Farhan
Dil Ki Zaamin Hoon Aaj Bhi Baba











