Farhan Ali Waris
Zill E Raza Zaidi
Asar Ka Waqt Hai Shabbir Hai Tanhai Hai
Aik Maan Dasht E Museebat Mein Chali Aai Hai
Dekh Kar Maan Ko Yeh Shabbir Buka Karne Lage
Amma Mera Ye Badan Dekho Hai Para Para
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Koi Kehta Tha Ke Talwar Se Maro Is Ko
Koi Kehta Tha Keh Ghorhe Se Gira Lo Is Ko
Koi Naiza Liye Aaya Hai To Koi Bhala
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Pas Aa Aa Ke Mere Teer Hain Itne Mare
Torh Kar Mera Badan Pusht Se Bahar Nikle
Ab Bhi Teeron Pe Muallaq Hai Tera Shahzada
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Paslian Tootiin To Maan Main Ne Tujhe Yad Kiya
Zarb Jo Sar Pe Lagi Kehta Tha Baba Baba
Kitne Sang Dill Hain Yeh Sab Rehm Na Mujh Pe Khaya
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Mera Ye Badan Dekho Hai Para Para
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Chakkian Pees Ke Amman Jise Pala Tum Ne
Nange Paon Jis Ghar Se Na Nikala Tum Ne
Ho Gaya Amman Badan Aaj Wo Zakhmi Sara
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Taigh Barchi O Sinan Zulm Ke Khanjar Mare
Jis Ko Kuch Bhi Na Mila Us Ne Bhi Pathar Mare
Jis Ke Jo Hath Laga Zulm Usi Se Dhaya
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Amma Jis Waqt Talak Ghazi Mera Zinda Tha
Aik Bhi Zakhm Mere Jism Pe Ane Na Diya
Baad Abbas Ke Ye Haal Hua Hai Mera
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Mera Yeh Badan Dekho Hai Para Para
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Amma Roomal Koi Mujh Ko Bhi De Do Apna
Hurr Ki Tarha Se Lahoo Mera Bhi Ruk Jaye Ga
Itna Zakhmi Hai Badan Khoon Nahi Rukta Mera
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Mujh Se Pehle Ye Sitam Maan Mere Akbar Pe Hua
Jis Gharhi Laal Mera Zeen Se Zameen Par Aya
Lash Par Pahuncha Jo Akbar Ki To Maine Dekha
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Amma
Ab To Har Samt Hain Yeh Ahl E Jafa Aur Main Hun
Shimr Ki Kund Churi Sookha Gala Aur Main Hun
Amma Shabbir Tera Ab Nahi Bachne Wala
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Amman
Haye Farhan Ali Kaisi Gharhi Thi Wo Bhi
Jis Gharhi Zill E Raza Kund Churi Sheh Pe Chali
Noha Karta Hi Raha Pyare Nabi Ka Pyara
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amma Mera Ye Badan Dekho Hai Para Para
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara











