Farhan Ali Waris
Mazhar Abidi
Jhoola Ali Asghar Ka
Bhool Na Pai Madar
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Umar Bhar Maan Ne Parha Noha Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Haye Be Sheer Ki Kaamat Se Barha Teer Tha Woh
Jis Ne Chaida Hai Gala Sookha Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Teer Ke Lagte Hi Gardan Ka Wo Dhalna Socho
Bap Ke Hathon Pe Tha Sajda Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Nanha Sar Naize Pe Kis Tarha Se Aya Socho
Qabr Ko Khod Ke Sar Kata Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Aai Asghar Ki Sada Naize Se Amman Amman
Dekh Lo Wada Hua Poora Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Auraten Raah Mein Kuch Karne Lagiin Aah O Buka
Nok E Naiza Pe Jo Sar Dekha Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Maan Ke Seene Mein Huye Dafn Hamesha Ke Liye
Ik Sakina Ka Hai Ek Lasha Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Mar Gai Dhoop Mein Maan Palloo Jo Us Ka Khola
Rakh Jhoole Ki Mili Kurta Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Aik Ujrhi Hui Madar Ke Dilase Ke Liye
Har Azakhane Mein Hai Jhoola Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Hai Yeh Mazhar Ki Dua Naslon Mein Jari Ho Aza
De De Farhan Ko Tu Sadqa Ali Asghar Ka
Jal Gaye Khaime Jala Jhoola Ali Asghar Ka
Jhoola Ali Asghar Ka
Bhool Na Pai Madar











