Mazar E Zahra Lyrics - Ameer Hasan Aamir
Let’s Check Out The Mazar E Zahra Lyrics, Recited by Ameer Hasan Aamir. It is a New Noha of the Year 2022. Its Beautiful Lyrics Are Written By Ainee Rizvi.
Title
Mazar E Zahra
Recited By
Written By
Ainee Rizvi
Mazar E Zahra Lyrics in English
Baade Tadfeen Fatima Zehra
Shor O Ghul Yeh Madine Me Utha
Keun Ali Ne Hame Na Bulwaya
Keun Akele Hi Unko Dafnaya
Zillaten Hum Na Yeh Sambhalenge
Laash Ko Khod Kar Nikalenge
Jab Ali Ne Suna To Ghaiz Aaya
Surkh Aankhen Thi Zard Tha Chehra
Muddaton Se Rakha Huwa Ghar Me
Aaj Jangi Libas Hai Pehna
Khoon Marhab Ka Hai Piya Jisne
Aaj Woh Zulfeqaar Utthi Hai
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Rasan Gale Me Bandhi Sabr Karliya Mai Ne
Batool Roti Rahi Sabr Karliya Maine
Yeh Had Hai Aag Lagi Sabr Karliya Mai Ne
Magar Na Aaj Bachenge Tumahre Jism Pe Sar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Jahan Me Ab Bhi Shae Zulfeqar Zinda Hai
Sar E Batool Ka Yeh Tajdar Zinda Hai
Khuda Ke Deen Ka Ek Zimmedar Zinda Hai
Abhi Jihad Ke Bhoola Hoon Mai Johar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Zamana Jaan Le Ek Baar Phir Ali Hoon Mai
Nabi Ka Nafs Hoo'n Allah Ka Wali Hoo'n Mai
Ke Raaz Maqfi Bhi Aur Aayat E Jali Hoon Mai
Mai Hi Hoo'n Qatil E Marhab O Qatil Aztar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Giraya Pusht Pe Darwaza Par Ali Chup Tha
Rasool Zaadi Giri Khaak Par Ali Chup Tha
Shaheed Hogaya Mohsin Magar Ali Chup Tha
Chali Jo Tegh Hamari To Aaj Barsenge Sar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Waqar E Ismato Hurmat Bhuladiya Tumne
Nabi Ki Beti Ke Ghar Ko Jaladiya Tumne
Qadam Jo Ek Bhi Aage Badha Diya Tumne
Na Daal Paoge Bewo'n Ke Sar Pe Ek Chadar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Bataun Kaise Jo Tum Ne Gunah Kardala
Nabi Ki Beti Ko Naraz Aah Kardala
Hamara Hansta Huwa Ghar Tabah Kardala
Tadap Ke Rehgaye Bacche Guzar Gayi Madar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Hai Khoob Ajre Risalat Ada Kiya Tumne
Ke Chote Baccho'n Ko Maa Se Juda Kiya Tumne
Zara Sa Socho To Wallah Kya Kiya Tumne
Sadayen Dete Hain Madar Ko Aah Ro Ro Kar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Naa Dekhi Aisi Jahan Ne Ali Ki Phir Tasveer
Ke Ankh Me Haider Ke Hath Me Shamsheer
Padhi Thi Paun Me Ghazi Ke Sabr Ki Zanjeer
Magar Yeh Kehte The Har Ek Se Sher Ke Tewar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Ajeeb Ainee Madine Ka Aah Manzar Tha
Lahad Pe Zehra Ki Bhepra Huwa Ghazanfar Tha
Lahoo Me Joshe Shujaat Malal Dil Par Tha
Fiza Me Kehti Thi "aamir" Yeh Tegh Lehra Kar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Alaman Hafeez Alaman Hafeez
Yeh Bole Kheinch Ke Talwar Fatahe Khaibar
Kisi Me Dam Hai To Aaye Mazar E Zehra Par
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon