Ali Shanawar
Rehan Azmi
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Ab Shahzadi Kahan
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Na Apna Woh Ghar Hai Na Apna Madina
Woh Baanhen Chacha Ki Tumhara Woh Seena
Bolo Khudara Tum Ho Kahan Main Kahan
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Jis Din Sy Tum Sy Juda Ho Gai Hun
Dekho To Baba Main Kya Ho Gai Hun
Ujra Makaan Hai Rehti Hun Ab Main Jahan
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Kehti Na Thi Dekho Na Jao Baba
Taras Khao Mujh Par Taras Khao Baba
Tum Kya Gaye Ho Mujh Par Gira Aasman
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Jaisy Hi Naizey Py Tum Aaye Baba
Mainy Tamanchay Bahot Khaye Baba
Rukhsar Par Hain Abhi Tak Sitam Ky Nishan
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Maanga Kaneezi Mein Baba Kisi Ne
Phainka Meri Samt Sadqa Kisi Ne
Paidal Chali Hun Kaanton Ky Main Darmian
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Milne Ko Hum Se Chale Ao Baba
Ek Bar Chehra Dikha Jao Baba
Ae Pyare Baba Phir Hum Kahan Tum Kahan
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Chalo Sham Chalty Hain Rehan O Sarwar
Wahan Dekhna Kya Hai Chehlum Ka Manzar
Bibi Sakina Karti Hain Ab Tak Fughan
Qaidi Hoon Main Baba Jaan
Haye Qaidi Hoon Main Baba Jaan











