Ali Jee
Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri
Saqi E Tishna Laba'n, Aye Alamdar E Haram
Haidari Sheyr E Jawa'n, Aye Alamdar E Haram
Marhaba Sheyr E Jawa'n, Aye Jawan
Aye Jawan, Aye Alamdar E Haram
Saqi E Tishna Laba'n, Aye Alamdar E Haram
Haidari Sheyr E Jawa'n, Aye Alamdar E Haram
Aye Shehanshah E Wafa Sani E Haidar Maula
Aye SAKINA Ke Chacha Fatima Zahra Ki Dua
Fouj E Shabbir Ke Sadaar Alamdar E Wafa
Bani Hashim Ke Qamar Naz E Shah E Karbobala
Maula Qurban Dil O Jaan, Aye Aye Alamdar E Haram
Saqi E Tishna Laba'n, Aye Alamdar E Haram
Marhaba Sheyr E Jawa'n, Aye Jawan
Aye Jawan, Aye Alamdar E Haram
Haidari Sheyr E Jawa'n, Aye Alamdar E Haram
Haaye Wo Sham EGhareebaan Wo Qayamat Ka Sama
Haaye Sadaat Ke Jalte Huwe Khaimo'n Ka Dhuwaa'n
Bibiyaa'n Karti Theen Ro Ro Ke Yehi Aah O Fughaa'n
Aao ABBAS Ridaao'n Ke Muhafiz Ho Kaha'n
Ho Kaha'n Sheyr e Jawan Aye Alamdar E Haram
Saqi E Tishna Laba'n, Aye Alamdar E Haram
Marhaba Sheyr E Jawa'n, Aye Jawan
Aye Jawan, Aye Alamdar E Haram
Haidari Sheyr E Jawa'n, Aye Alamdar E Haram
Kbna Bibi Ko Alamdar Chacha Yaad Aaya
Aaya Jab Sham Ka Bazaar Chacha Yaad Aaya
Na Mila Saya E Deewar Chacha Yaad Aaya
Jab Thamache Lage Har Baar Chacha Yaad Aaya
Thi SAKINA Ki Fughaa'n Aye Alamdar E Haram
Saqi E Tishna Laba'n, Aye Alamdar E Haram
Marhaba Sheyr E Jawa'n, Aye Jawan
Aye Jawan, Aye Alamdar E Haram
Haidari Sheyr E Jawa'n, Aye Alamdar E Haram
Ham Azadaaro'n Ki Taqdeer Jaga Do Maula
Karbala Ka Hamain Zawwar Bana Do Maula
Apni Jageer Ka Deedaar Kara Do Maula
Roza e Hazrat e SHABBIR Dikha Do aoula
Hai Yehi Wird E Zabaa'n Aye Alamdar E Haram
Saqi E Tishna Laba'n, Aye Alamdar E Haram
Marhaba Sheyr E Jawa'n, Aye Jawan
Aye Jawan, Aye Alamdar E Haram











