Ali Shanawar & Ali Jee
Rehan Azmi
Mera Nana Nabi Meri Maa Syeda
Mera Baba Ali Mera Bhai Hasan
Hum Hi Hain Panjatan
Meri Kya Hai Khata
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Kya Main Zehra Ka Jaya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Mere Nana Ne Kalma Sikhaya
Aur Quran Tum Ko Sunaya
Kya Main Nana Ka Saya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Woh Madina Jahan Mera Ghar Hai
Aur Masjid Mein Us Ghar Ka Dar Hai
Kya Main Us Ghar Mein Khaila Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Chakian Pees Kar Maa Ne Pala
Mujh Ko Nana Ne Jhoola Jhulaya
Apna Bachpan Main Bhoola Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Kamli Wale Ke Lab Chumta Tha
Kitna Pyara Mera Bachpana Tha
Kya Main Un Ka Dulara Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Main Jo Pani Kabhi Mangta Tha
Kiun Tarhapti Thi Maa Ab Main Samjha
Paas Asghar Ke Jata Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Main Jo Chahun Baras Jayen Baadal
Khoon Mein Dooba Nazar Aaye Maqtal
Jang Karne Main Aaya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Ik Sada Thi Yeh Rehan O Sarwar
Keh Rahe Thy Hussain Ibn e Haider
Kya Main Mehmaan Aya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun











