Tejani Brothers
Tejani Brothers
Karbala Karbala Karbala
Hussainio Hai Tumhari
Hai Tumhari Zimadari
Karbala Sab Ko Batao
Karbala Sab Ko Sunao
Karbala Sab Ko Bulao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Zakir E Karb O Bala Khud Huye Allah Ke Rasool
Ho Gy Is Khak Pe Ke Saaniha Sun Le Ay Batool
Jo Hai Mera Beta Ho Ga Piyasa Zibha
Be Khata Aur Tanha Aur Tanha Aur Tanha
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Farsh Ka, Arsh Ka Bhi Arsh Yehi Karbobala
Qibla E Aoliya O Anbiya Bhi Karbobala
Hai Bulandi Ka Maqam, Hai Namazon Ka Qayam
Deen E Haq Ka Hai Payam, Ka Hai Payam, Ka Hai Payam
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Har Azadar Ki Khilqat Hai Isi Mitti Se
Aur Allah Ko Raghbat Hai Isi Mitti Se
Jis Pe Jhukti Hai Jabeen, Yeh Hai Anmol Zameen
Yeh Jaga Sab Se Haseen, Sab Se Haseen, Sab Se Haseen
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Hm Ny Dekha Hai Saleeqa E Hayat Is Jaa Se
Ba Khuda Milti Hai Duniya Ko Nijaat Is Jaa Se
Ay Azadar Suno, Poori Duniya Se Kaho
Karbala Aam Karo, Aam Karo, Aam Karo
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Na Yahan Mazhab O Darjaat Ki Pabandi Hai
Na Yahan Aabro O Zaat Ki Pabandi Hai
Bacha Ho, Peer O Jawan, Aik Aawaz Jahan
Lab Py Hai Shor O Fughan, Shor O Fughan, Shor O Fughan
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Baidari E Insan Ko Ab Hony Lagi Hai
Har Samt Sy Aati Hai Sada Haye Karbala
Sab Balaon Ko Dafa Karti Hai Yeh Khak E Zameen
Isi Darbar Mein Mil Jayen Gy Jannat Ky Makeen
Mil Gai Us Ko Shifa, Khaak E Karbal Hai Dawa
Mola Ny Waada Kiya, Waada Kiya, Waada Kiya
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Go Hai Yeh Gham Hamen Har Ek Sakoon Sy Barh Kar
Yeh Amal Rab Ko Pasand Sab Sy Hai Aagy Barh Kar
Raah E Jannat Hai Yehi, Sunnat E Pyaray Nabi
Majlis O Seena Zani, Seena Zani, Seena Zani
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Ay Tejani Yehi Paigham Sunao Har Pal
Sirf Shion Ke Liye Hai Nahi Arz E Karbal
Sab Yahan Atay Hain, Aarzoo Laty Hain
Aur Sila Paty Hain, Aur Sila Pate Hain
Karbala Sab Ko Sunao
Han Azadar Banao Karbala Sab Ko Sunao
Karbala Sab Ko Sunao











