Shahid Baltistani
Shahenshah Hussain Naqvi
Jahan e Husan Se Ye Inqalab Ho Na Saka
Muhammad e Arbi Ka Jawab Ho Na Saka
Parha Ke Gaib Se Bhaija Hai Mere Aaqa Ko
Bajuz Nabi Koi Ummi Khitab Ho Na Saka
Muhammad e Arbi Ka Jawab Ho Na Saka
Khuda Se Door Hai Our Woh Khudi Se Na Waqif
Dar e Rasool Jise Dastiyab Ho Na Saka
Muhammad e Arbi Ka Jawab Ho Na Saka
Araq Jaben Se Le Kar Nabi Banaye Gaye
Phir Oss Ke Baad Paseena Ghulab Ho Na Saka
Muhammad e Arbi Ka Jawab Ho Na Saka
Karam Nigahi e Aaqa Hain Buzar o Salmaan
Woh Zarrah Kya Jo Yahan Aaftab Ho Na Saka
Muhammad e Arbi Ka Jawab Ho Na Saka
Haqeeqatan Abu Talib Ke Ladlay Ke Siwa
Koi Bhi Misal e Risalat Maab Ho Na Saka
Muhammad e Arbi Ka Jawab Ho Na Saka
Gunah Gaar Hai Rehmat Ki Bas Talash Mein Hai
Hamara Aasi Bhi Youn Bazyab Ho Na Saka
Muhammad e Arbi Ka Jawab Ho Na Saka











