Farhan Ali Waris
Noor Ali Noor
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Ba Khuda Qadmo Mein Sarkar Ke Paya Jata

Sath Sarkar Ke Ghazwaat Mein Shamil Hota
Un Ki Nusrat Mein Lahu Mera Bahaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Rait Ke Zaroon Mein ALLAH Badal Deta Mujhe
Phir Mujhe Rah e Muhammad Mein Bichaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Khak Ho Jata Main Sarkar Ke Qadmo Ke Talay
Khak Ko Khak e Madina Mein Milaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Mill Ke Sab Loag Mujhe Mati Se Gara Karte
Phir Mujhe Masjid e Nabvi Mein Lagaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Kash Aye Kash Main Hota Koi Aisi Lakri
Jis Ko Sarkar Ke Minbar Mein Lagaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Un Ke Roze Ke Dar o Baam Sajane Ke Liye
Rozno Mein Meri Aankhon Ko Lagaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Laya Jata Sar e Darbar Aseeron Ki Tarha
Hukam Par Un Ke Main Aazaad Karaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Ya Utarta Kissi Naat Ke Misray Ban Kar
Robaro Un Ke Main Un Ko Hi Sunaya Jata
Kash Main Door e Payamber Mein Uthaya Jata
Hote Oss Door Ka Qisa Koi Noor o Farhan
Aaj Ke Door Mein Bachon Ko Parhaya Jata