Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Wapas Madiney Aa Gaya Lo Karwan Ujra Hua
Ujri Thiin Sari Bibiya Sajjad Ka Noha Yeh Tha
Royen Gy Taoq O Bairiyan
Woh Shaam Aur Main Alaman
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Logon Madina Lut Gaya Koi Nahi Mery Siwa
Daghon Sy Hai Seena Bhara
Tanha Karun Kya Kya Bayan
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Tha Jab Talak Woh Mehrban Abbas Meer E Karwan
Mara Gaya Kya Nagahaan Akhir Liya Un Ka Nishan
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Kitna Kathan Tha Woh Safar
Naizon Py Thy Pyaron Ky Sar
Uthti Na Thi Meri Nazar
Bey Parda Behnen Aur Maan
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Gham Tha Qayamat Sy Barha Charon Taraf Thy Ashqiya
Namoos Meri Bey Rida Rota Tha Sun Sun Kar Aza
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Kya Ronaq E Bazar Thi Pathar Ki Bhi Bochar Thi
Aur Woh Hansi Kuffar Ki Khamosh Thi Meri Zubaan
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Us Sham Ky Bazar Ne Woh Gham Diye Darbar Ne
Jab Main Laga Lalkarny Deny Lagy Zalim Aza
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Tha Jab Talak Woh Mehrban Abbas Meer E Karwan
Mara Gaya Kya Nagahan Akhir Liye Un Ka Nishan
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Logo Madina Lut Gaya Koi Nahi Mere Siwa
Daghon Sy Hai Seena Bhara
Tanha Karun Kya Kya Bayan
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan
Rehan O Sarwar Umr Bhar
Ankhen Rahen Gi Noha Gar
Jis Waqt Farsh E Dard Par
Nohay Mein Yeh Ho Ga Bayan
Aisa Bana Main Sarbaan
Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan











