Nadeem Sarwar
Rehan Azmi, Nadeem Sarwar
zinda jaha’n mein taba qayamat hai karbala
sadaat e karbala ki amanat hai karbala
duniya ke har ghareb ki izzat hai karbala
Jannat e maa karbala, rooh e azaa karbala
noor e khuda karbala, baab e dua karbala
khak e shifa karbala, ghum ki dawa karbala
jannat e maa karbala
Karbobala khoon e Mohammad se saji hai
Karbobala ishq e hussain ibn e ali hai
teri zamee’n mo’alla.
Karbala karbala masha’allah
tu rahegi sada insha’allah
Mashallah mashallah karbala
Aao chale karbala, ban ke safeer e azaa
sar pe ho parcham khula
ishq e azaa saath rahe
ashko ki barsaat rahe
haatho mein bus haath rahe
teri zamee’n mo’alla
nainawa nainawa mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah
Mashallah mashallah karbala
Karbobala khak thi, khak ko izzat mili
khak e shifa bangayi, aaye hussain ibn e ali
surat e gulzar saji, ghazi ki jageer bani
teri zamee’n mo’alla
marhaba marhaba mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah
Mashallah mashallah karbala
Hum tere zawar hain, tere azadar hain
khadim e darbar hain, nara e labbaik mera
matam e shah e shohada
lo mai chala karbobala
teri zamee’n mo’alla
shukriya shukriya mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah
Mashallah mashallah karbala
Meri dawa karbala, meri shifa karbala
meri baqa karbala, daulat e maa karbobala
quwwat e maa karbobala, izzat e maa karbobala
teri zamee’n mo’alla
rehnuma rehnuma mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah
Mashallah mashallah karbala
Aye shahe karbobala, koi nahi aap sa
ek hai bus karbala, sarwar o rehan chalo
leke ye armaan chalo, nazr kare jaan chalo
teri zamee’n mo’alla
Jaane maa jaane maa mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah
Mashallah mashallah karbala
Zindabad karbala, zindabad ya hussain
Beshak ali ke laal ki mehnat hai karbala
Zehra ke khandaan ki daulat hai karbala
jo bhi yaha’n hussain ka zawwar ban gaya
hurr bangaya koi, koi mukhtaar ban gaya
Karbobala sayebaa, karbobala paasbaa’n
karbobala noor e jaa’n, saari zameeno ki maa
ishq o mohabbat ka nisha’n
farsh pe hai arsh jahaa’n
jannat e arzi ka samaa
dee’n panaah, sajda gaah, madresa
darsgaah, hal yazah, hal ataah
tu hai dayaar e hussain, mashallah mashallah
tu dil e zahra ka chayn, mashallah mashallah
rooh e dil e mashraqain, mashallah mashallah
tere liye har dua, inshallah inshallah
tere liye har sadaa, inshallah inshallah
jaari rahegi sadaa, inshallah inshallah
Karbala karabala, Karbala karabala
Hai hamari darsgaah, Karbala karabala
haq ka sedha raasta, Karbala karabala
Ibadato ka rabta, Karbala karabala
har ek hur ki rahnuma, Karbala karabala
hussainiyat ka madrasa, Karbala karabala
Baqa e harf e laa ilaah, Karbala karabala
Hussain jiska baadshah, Karbala karabala











