Mir Hasan Mir
Mir Takallum
Dar Jal Chuka Hai Yusuf e Zehra Kab Aaoge
Zehra Sadayen Deti Hai Maula Kab Aaoge
Al Ajal, Al Ajal, Al Ajal, Al Ajal
Allahumma Ajjil Lewaliyekal Faraj
Allahumma Ajjil Lewaliyekal Faraj
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
De Kar Sadayen Aapko Leti Hai Hichkiyan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Pahlu Shikastan Ho gaya Jaldi Sambhaal Lo
Bint e Nabi Ko Aag Se Aa Kar Nikaal Lo
Mola Tumhari Daadi Hain Sholon Ke Darmiyan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Dekha To Hoga Zulm Nigah e Imam Se
Beton Ke Samne Kabhi Logon Ke Samne
Khaye Nabi Ki Beti Ne Duray Kahan Kahan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Afzal Abu Turaab Hai Kul Kainat Se
Khaibar Ko Fat’ha Jisne Kiya Apne Haath Se
Wo Sher e Kibriya Kahan, Aur Rassiyan Kahan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Haye Maadar Ka Chehra Takti Hain Hasrat Se Bar Bar
Zainab Ke Saath Sath Hain Kulsoom Be Qarar
Chehre Pe Neel Dekh Ke Roti Hain Betiyan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Haye, Ik Zal-Zala Sa Taari Tha Qabr e Rasool Par
Zalim Ne Aise Haath Uthaya Batool Par
Bikhri Zamin Pe Toot Ke Zehra Ki Baaliyan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Kis Din Zahoor Paoge Ae Ibn e Fatima
Batla Rahin Hain Zehra Ki Ye Zere Dar Sada
Yasrab Me Tumne Dekhi Hai Zakhmon Se Choor Maa
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Ae Waris e Rasool Qayamat Phir Aa Gayi
Ghaiwat Me Tum Ho Aur Shahadat Phir Aa Gayi
Aa Kar Suna To Do Hame Ghurbat Ki Dastan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Har Dushman e Batool Ko Tukdon Me Baant Do
Tumko Qasam Hussain Ki Wo Haath Kaat Do
Jis Haath Ka Hai Bibi Ke Rukhsar Par Nishan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Ayyam e Pursadaar e Zehra Ka Wasta
Karte Hain Khum Me Mir Takallum Ye Sab Dua
Matam Karen Baqiya Me Har Maatmi Jawan
Ya Sahibaz Zama
Zakhmi Hain Fatima Tootin Hain Pasliyan
Ya Sahibaz Zama, Ya Sahibaz Zama
Allahumma Ajjil Lewaliyekal Faraj
Al Ajal, Al Ajal, Al Ajal
Al Ajal, Al Ajal, Al Ajal











