Mir Hasan Mir
Mir Takallum
Ya Hasan Ya Hasan
Marhaba Marhaba
Ya Karim e Ahlebait Ya Karim
Marhaba Ya Hasan Marhaba
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Doston Hai Roze Eid Ka
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Fatima se Do Jaha Ka Raaj Mang Lo
Mangna Hai Jo Bhi Tum Ko Aaj Mang Lo
Josh Main Hai Rahmat e Khuda
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Waqt Ho Gaya Faqeer-e-Sham Ka Tamam
Aa Gaya Hai Aaj Mera Dosra Imam
Hoga Ab Qalam Se Faisla
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Hujra e Batool Rashk e Toor Ho Gaya
Nazil Aasmaan Se Sabz Noor Ho Gaya
Parh Chukin Jo Zohar Fatima
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Pori Hoon Gi Sailon Ki Sab Guzarishein
Ab Karam Sakhawaton Ki Hoon Gi Barishien
Rehmaton Ka Baab Khul Gaya
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Tana Abtari Ka Jo Nabi Ko Detey They
Aaye Hain Woh Sab Hasan Ki Deed Ke Liye
Keh Rahe Hain Unn Se Mustafa
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Taig Ko Qalam Ki Misal Tolta Howa
Qasim e Hasan Wiga Ke Wastay Barha
Shoor Karzar Mein Utha
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Jane Kis Khiyal Mein Farishtay Kho Gaye
Fatima Ke Ghar Mein Do Rasool Ho Gaye
Ban Ke Khud Shabeeh e Mustafa
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Shan e Mujtaba Pe Khud Daleel Ho Gaya
Sajda e Rasool Jab Taveel Ho Gaya
Sathiyon Ne Khud Samajh Liya
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Kainat Mere Sath Jhomney Lagi
Yeh Zameen Kuch Our Taiz Ghomney Lagi
Mir Ne Jo Jhoom Kar Kaha
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Rozay Daro Din Hai Eid Ka Aa Gaye Hasan
Aa Gaye Hasan, Aa Gaye Hasan
Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan