Labbaik Ya Hussain Lyrics - Joan Rizvi
Let’s Check Out The Labbaik Ya Hussain Lyrics, Recited by Joan Rizvi. It is a New Noha of the Year 2022. Its Beautiful Lyrics Are Written By Asad Ali.
Title
Labbaik Ya Hussain
Recited By
Written By
Asad Ali
Labbaik Ya Hussain Lyrics in English
Barhtey Chalo Soye Haram Sar Par Ho Ghazi Ka Alam
Lab Par Ho Sab Ke Yeh Sada Labaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Tumhari Janib Jo Ibn e Zahra Yeh Barhtey Hain Qafilay
Batatay Hain Kam Na Hoon Gay Dunya Ko Ishq Ke Silsilay
Hazar Mushkil Ho Zairon Ke Na Kam Hoye Hoslay
Yeh Bachay Borhay Our Jawaan
Hain Alam Uthaye Rawaan Dawaan
Hai Qurban Sheh Pe Jaan Kehte Hain Sab Yak Zabaan
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Hain Nangay Paon Jo Karbala Ki Taraf Yeh Sab Rukh Kiye
Chaley Hain Zainab Ki Yaad Mein Yeh Hussain Tere Liye
Aye Maula Inn Sab Ka Chal Ke Aana Qabool Kar Lijiye
Jo Bhi Hai Mushkil Mein Ghira Oss Ko Hai Tera Aasra
Zainab Ke Sadqay Mein Sun Lena Har Dil Ki Sada
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Jo Iss Baras Bhi Hussain Dar Par Tere Na Hain Aa Sakay
Jo Tere Maqtal Mein Tere Gham Mein Lahu Baha Na Sakay
Rahi Yeh Hasrat Keh Teri Turbat Pe Jaan Na Luta Sakay
Ghazi Se Yeh Maula Kahin Naam Ab Ke Unn Sab Ke Likhein
Fehrist Zaireen Ki Jis Waqt Woh Likhney Lagin
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Yeh Zairon Ke Liye Jo Mokib Kahin Lagatay Hain
Jo Apne Hathoon Se Thanda Sharbat Unhein Pilatay Hain
Jo Nam e Shabeer Par Tabaruk Unhein Khilatay Hain
Unn Sab Ka Hai Yeh Martaba Razi Hain Sab Se Fatima
Hur Ki Tarha Se Unn Sab Par Hain Rashk Kartay Anbiya
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Zahoor e Mehdi Ho Jab Tu Qabron Se Hum Bhi Oss Dam Uthein
Imam e Mehdi Ki Hum Niyabat Mein Karbala Ko Chalein
Aye Kash Sath Unn Ke Hum Bhi Paidal Younhi Mashi Karein
Mehdi Ke Hum Sab Sath Hoon Seeno Pe Sab Ke Hath Hoon
Aankhon Se Rawaan Hoon Ashk
Pohanchay Youn Hum Sab Karbala
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Hai Lagta Zair Ko Jaisay Koi Galay Lagata Hai
Biyan Kaisay Ho Sheh Ka Roza Nazar Jab Aata Hai
Tu Sar Ko Ghazi Ke Dar Pe Zair Wahin Jhokata Hai
Kehta Hai Ghazi Shukriya Mujhe Karbala Mein Bola Liya
Banday Pe Yeh Karam Kiya Shabeer Se Jo Mila Diya
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Hain Jo Azadar e Shah e Wala Jahan Se Rukhsat Hoye
Woh Apni Qabron Se Karbala Ki Taraf Hain Sab Ja Chukay
Qaza Bhi Unn Ko Juda Nahi Kar Saki Hai Hussain Se
Ashor Ho Ya Ho Arbaeen Hai Asad Our Joan Ko Yeh Yaqeen
Matam Ke Har Halqay Mein Hotey Hain Woh Sab Wahin
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor e Ain
Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon