Noor E Nazar Ki Lash Lyrics - Farhan Ali Waris
Let’s Check Out The Noor E Nazar Ki Lash Lyrics, Recited by Farhan Ali Waris. It is a New Noha of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Salman Azmi.
Title
Noor E Nazar Ki Lash
Recited By
Written By
Salman Azmi
Noor E Nazar Ki Lash Lyrics in English
Haye Ghareeb E Zehra
Ek Shakhs Ka Jawan Pisar Qatal Hogaya
Har Baap Ki Tarah Se Woh Sadma Na Seh Saka
Rote Huye Hussain Ke Rozay Ka Rukh Kiya
Kehne Laga Ke Mujh Mein Nahi Itna Hosla
Mola Batayen Farz Nibhate Hain Kis Tarhan
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Mola Batayen Farz Nibhate Hain Kis Tarhan
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Ankhon Ka Jo Ujala Tha Woh Laal Mar Gaya
Naazon Se Jis Ko Pala Tha Woh Laal Mar Gaya
Atthara Saal Wala Tha Woh Laal Mar Gaya
Mamta Ka Jo Hawala Tha Woh Laal Mar Gaya
Maa Ko Ye Khabar Ye Ja K Sunate Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Mola Batayen Farz Nibhate Hain Kis Tarhan
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Bete Ki Lash Dekh Ke Khud Lash Ban Gaya
Beta Jawan Mar Gaya Zinda Rahun Main Kya
Ye Aap Ka Jigar Hai Jo Sadman Ye Seh Gaya
Yani Jawan Betay Ka Lasha Utha Liya
Hathon Pe Apna Lasha Uthate Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Laya Koi Hai Ghusl Ko Laya Kafan Koi
Bete Ki Lash Mujh Ko Salamat Hi Mil Gai
Tooti Hui Jigar Mein Nahi Naize Ki Ani
Ghorhon Ke Dorhne Se To Pamal Na Hui
Ankhon Se Khoon Dill Ka Bahate Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Mola Batayen Farz Nibhate Hain Kis Tarhan
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Seh Roz Ka To Pyasa Nahi Tha Mera Pisar
Barchhi Ke Phal Se Tukrhe Nahi Laal Ka Jigar
Akbar To Bhoka Pyasa Tarhapta Tha Khak Par
Seenay Se Apne Laal Ke Barchi Nikaal Kar
Shukr E Khuda Ko Honton Pe Late Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Woh Waqt Ke Jo Farz Nibhane Ka Waqt Ho
Woh Laal Jis Ko Dulha Banane Ka Waqt Ho
Hathon Pe Jis Ke Mehndi Lagane Ka Waqt Ho
Woh Jis Ke Sar Pe Sehra Sajane Ka Waqt Ho
Mayyat Pe Us Ki Phool Sajate Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Mola Batayen Farz Nibhate Hain Kis Tarhan
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Akbar Ka Pursadaar Tha Ham Sar To Nahi Tha
Betay Se Mola Aap Ke Barh Kar To Nahi Tha
Yousuf Misaal Husn Ka Paikar To Nahi Tha
Beta Mera Haseen Tha Akbar To Nahi Tha
Ehsas E Zabt Itna Dikhate Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Mola Batayen Farz Nibhate Hain Kis Tarhan
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarhan
Salman Azmi Yehi Rawi Ne Hai Likha
Mayyat Pisar Ki Apne Nahi Woh Utha Saka
Bete Ke Moo Pe Moo Ko Rakha Aur Mar Gaya
Tareekh Ne Ye Waqiya Mehfooz Kar Liya
Mairaj Karbala Ki Batate Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthate Hain Kis Tarah
Haye Ghareeb E Zehra
Haye Ghareeb E Zehra
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon