Ghareeb e Zahra Kahan Tumhara Safar Lyrics - Mesum Abbas
Let’s Check Out The Ghareeb e Zahra Kahan Tumhara Safar Lyrics, Recited by Mesum Abbas. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Ghareeb e Zahra Kahan Tumhara Safar
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Ghareeb e Zahra Kahan Tumhara Safar Lyrics in English
Safar Tamam Huwa Dekh Chuka Karbobala
Alvida Kehne Jo Maula Ke Harm Mein Puhuncha
Aankh Se Aansu Bahe Dil Mein Udaasi Chhaayi
Yaad Jab Syed E Sajjad Ki Rukhsat Aayi
Haye Woh Dasht E Bala Be Kafan Tha Laasha
Apne Haathon Mein Kafan Dekh Ke Maine Ye Kaha
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Humne Jab Pehla Qadam Karbobla Mein Rakha
Tumne Zawaaron Ka Is Tarah Se Ehsaas Kiya
Rakh Diya Haath Azaadaron Ke Dil Par Haye
Humne Rona Bhi Agar Chaha To Rone Na Diya
Haan Magar Tumko Yahan Jab Bulaya Mehmaan
Mil Ke Noo (9) Lakh Ne Maqtal Mein Rula Kar Maara
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Aaj Roze Se Buhat Door Hai Darya Mola
Haan Magar Phir Bhi In Aankhon Ne Ye Dekha Mola
Har Qadam Raah Mein Paani Ki Sabeelen To Mileen
Karbala Mein Na Mila Koi Bhi Pyaasa Maula
Teen Din Tak Tum Pe Band Paani Rakh Ke
Kar Diya Qatal Isi Sheher Mein Bhooka Pyasa
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Mola Hum Bhool Nahi Paayenge Zainab Ki Thakan
Aap Ki Tarah Mere Saath Bhi Aai Hai Behan
Woh Bhi Ghar Laut Ke Jaayegi Yahan Se Lekin
Sar Pe Chadar Bhi Hai Haathon Mein Nahi Koi Rasan
Aur Tumhari Woh Behan Hoke Paaband E Rasan
Shaam Rukhsat Hui Baalon Se Chhupa Kar Chehra
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Baap Se Door Kahan Rehti Hai Koi Beti
Jab Meri Beti Mere Seene Se Aakar Lipti
Koi Na Aaya Use Mujhse Chhudane Ke Liye
Haan Magar Aap Ki Woh Chaar Baras Ki Pyaasi
Dasht Mein Roti Huwi Aap Se Jab Lipti
Shimar Ne Kheench Ke Baalon Se Tamaacha Maara
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Aik Din Roza E Abbas Pe Hum Baithe The
Chalte Chalte Wahan Ek Shakhs Gira Jab Aake
Khud Woh Uth Sakta Tha Baazu The Salamat Phir Bhi
Jisne Dekha Woh Chala Aaya Sahaara Dene
Aur Gire Yun Ghazi Huwa Chehra Zakhmi
Apne Haathon Ka Sahaara Bhi Nahi Tha Mola
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Dil Yahin Chhod Diya Laut Ke Jaata Hoon Watan
Kerne Aaya Hoon Salaam Aakhri Ae Shah E Zaman
Na Andhera Hai Na Mujh Par Hai Museebat Koi
Tooq Gardan Mein Na Zanjeer Mein Jakda Hai Badan
Aur Woh Abid Ka Safar Aik Qaidi Ban Kar
Sar Jhukaye Huwe Laashe Se Tumhare Guzra
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Aa Gaya Mesum O Zeeshan Mein Rukhsat Hokar
Na Hi Kaanton Ki Chubhan Na Koi Sar Neeze Par
Taaziyaane Bhi Kisi Ne Nahi Maare Mujhko
Aag Na Khaulta Paani Na Baraste Pathar
Jitna Chaaha Roya Kab Kisi Ne Maara
Raah Mein Apna Safar Dekh Ke Main Kehta Raha
Ghareeb E Zahra Shaheed E Karbobla
Kahan Tumhara Safar Kahan Hamara Safar
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon