Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai Lyrics - Irfan Haider
Let’s Check Out The Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai Lyrics, Recited by Irfan Haider & Nad E Ali. It is a New Noha of the Year 2022. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai Lyrics in English
Kis Ne Mara Ali Ko Har Soo Udasi Chhai
Haye Abbas Pe Kaisi Yeh Qayamat Aai
Kis Ne Mara Ali Ali, Haye...
Khanah e Haq Mein Yeh Gazab Hogaya (Haye Ali)
Dete Hain Jibreel Yeh Rokar Sada (Haye Ali)
Qatal Namazi howa
Ghar Mein Zahra Ke Matam Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Aaj Kufay Mein Mehshar Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Haye Talwar Chali Rab Ka Wali
Zakhmi Huwa (Haye Afsoos)
Har Namazi Ke Labon Par Thi
Yahi Aik Sada (Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbta Haye)
Sir Shakista Huwa (Haye Ya Ali)
Khoon Behne Laga
Shor Masjid Se Yeh Uth Raha Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Aaj Kufay Mein Mehshar Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Jab Bhi Baba Ke Amame Pe
Nazar Jati Hai (Haye Afsoos)
Bas Yeh Shabir Ke Honton Pe
Sada Aati Hei (Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbta Haye)
Yeh Yateemi Ka Gham (Haye Ya Ali)
Seh Na Payenge Hmm
Sunke Yeh Baat Dil Phatt Raha Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Aaj Kufay Mein Mehshar Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Apni Behno Kojo Maiyat Se
Chhurate Hain Hassan (Haye Afsoos)
Ghar Se Yeh Keh Ke Janazay Ko
Uthate Hain Hassan
(Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbta Haye)
Meri Behnoon Suno (Haye Ya Ali)
Alwidah Bol Do
Jaanta Hon Yeh Sadma Bara Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Aaj Kufay Mein Mehshar Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Baap Ke Qadmon Mein Sir Rakh Ke
Yeh Zainab Ne Kaha (Haye Afsoos)
Haath Ab Sir Pe Mere Kon
Rakhe Ga Baba (Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbta Haye)
Chhor Jaoge Tum (Haye Ya Ali)
Yaad Aaoge Tum
Waqt Kaisa Yeh Hum Par Para Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Aaj Kufay Mein Mehshar Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Jab Bhi Kofe Mein Baakaiya
Se Hawa Aati Hai (Haye Afsoos)
Fatima Zahra Ke Rone Ki Sada
Aati Hai (Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbta Haye)
Hai Mera Dil Hazien (Haye Ya Ali)
Chain Milta Nahi
Qabar Mein Jab Se Mein Ne Suna Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Aaj Kufay Mein Mehshar Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Haye Zeeshan Se Kehta Hai
Yeh Irfan e Aaza (Haye Afsoos)
Dil Se Ajati He Khud Roz e Shahadat
Yeh Sada (Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbta Haye)
Ham Na Bhoole Kabhi (Haye Ya Ali)
Zakhmi Mola Ali
Aaj Har Ghar Mein Farsh e Aza Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Aaj Kufay Mein Mehshar Bapa Hai
Qatl Ghazi Ka Baba Huwa Hai
Bar Dushman e Mola Ali Laanat (Be Shumar)
Laanat Bar Dushman e Ali
Ae Qaatil e Haider Tere Kirdaar Pe Lanat
Lanat Be Shumar, Lanat Be Shumar
Makkar Pe Aiyaar Pe Ghaddar Pe Lanat
Lanat Be Shumar, Lanat Be Shumar
Jo Zarb Lagai Hai Mere Mola Ko Tum Ne
Is Waar Pe Laanat Teri Talwar Pe Lanat
Lanat Be Shumar, Lanat Be Shumar
Lanat Be Shumar...
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon