Nad e Ali Lyrics - Syed Raza Abbas Zaidi
Let’s Check Out The Nad e Ali Lyrics, Recited by Syed Raza Abbas Zaidi & Shahid Baltistani. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Nad e Ali
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Nad e Ali Lyrics in English
Naad e Ali Yan Mazharil Ajaaib
Tajid Hu Awnallaka FinnawaaIb
Qullu Haminwwa ghammin Sayanjali
Be Ali Yin, Be Ali Yin, Be Ali
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Wajad Main Jab Bhi Tera Naam Main Leta Hon Ali
Baithe Baithe Hi Najaf Ghoomta Rehta Hon Ali
Dil Dharakne Ki Sadaon Main Bhi Suntan Hon Ali
Ae Mere Mola Ali Ye Mohabat Teri
Rah Jaisi Bhi Ho Mujhko Nahi Girne Deti
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Khabri Jang Main Chaleeswan Din Aaya To
Kaha Allah Ne Jibreel Nabi Se Keh Do
Wo Jo Mazhar Hai Ajaib Ka Pukaro Us Ko
Jab Ali Aaye Ga Sab Badal Jaye Ga
Jeet Jao Ge Abhi Jang, Padho Mere Nabi
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Khoya Rehta Hon Shob o Rooz Teri Yaadon Main
Zindagi Ban Ke Tu Basta Hai Meri Sanson Main
Dil Laga Rehta Hai Har Waqt Teri Baton Main
Aaisa Lagta Hain Mujhe Sath Hai Tu Mere
Teri Yaadon Se Nikalne Nahi Deti Hai Kabhi
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Yaad e Ali
Mera Andaz Malangana Bana De Mola
Jo Tujhe Dekh Le Wo Dana Bana De Mola
Mujh Ko Behlool Sa Dewana Bana De Mola
Ishq Itna Hai Mujhe Mere Mola Tujh Se
Mere Seene Main Hai Dil Or Hai Is Dil Pe Likhi
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Rasta Neel Main Musa Ko Dikha Deta Hai
Kashti e Nooh Se Toofan Hata Deta Hai
Or Kahin Naar Ko Gulzar Bana Deta Hai
Hazrat e Aadam Se Mustafa Taq Sab Ke
Kaam Aaya Hai Yehi Wird Jahan Jis Ne Parhi
Nad e Ali
Ashhado Ana Ali Yun Waliullah
Naiza Akbar Ke Kaleje Se Jo Khencha To Padi, Nad e Ali
Teer Beshir Ki Gardan Se Nikala To Padi, Nad e Ali
Aik Gathdi Main Jo Qasim Ko Sameta To Padi
Lasha Jab Aoun O Muhammad Ka Uthaya To Padi
Kat Gaye Hath Gira Gode Se Jab Yaad e Ali
Shah Lashe Pe Gaye Padte Huwe Nad e Ali
Al Gharaz Sheh Ka Gala Shimar Ne Jab Kata
Kuchh Kadam Door Se Ro Ro Ke Behan Padti Rahi
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Pohnchi Darbar Ke Darwaze Pe Zainab Jis Dam
Khak Pe Aaise Girin Phir Nahi Uth Paye Qadam
Yaad Baba Ki Jab Aayi To Huwi Ankhen Nam
Ro Ke Zainab Ne Kaha Ho Kahan Ae Baba
Jab Madad Ke Liye Baba Ko Pukara To Padi
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Bediyon Par Jo Girati Rahi Pani La Kar
Jo Behan Shaam Taq Aayi Thi Tamache Kha Kar
Qaid Se Jo Nahi Ja Pai Rehai Pa Kar
Us Behan Ka Lasha Qabar Main Jab Rakha
Us Gadi Syed e Sajjad Ke Hoton Par Thi
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Jis Ke Seene Main Hai Gham Zehra Ke Ujde Ghar Ka
Bas Wo Darwash Hai Zeeshan O Raza Is Dar Ka
Us Pe Rehta Hai Karam Sham O Sahar Haider Ka
Ya Hussaina Kehana Gham Main Rote Rehna
Apne Saye Main Azadaron Tumhe Rakhe Gi
Nad e Ali
Asal Main Yehi To Hai Yaad e Ali
Be Ali Yin, Be Ali Yin, Be Ali
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon