Ali Maulana Ali Lyrics - Mesum Abbas
Let’s Check Out The Ali Maulana Ali Lyrics, Recited by Mesum Abbas. It is a New Noha of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mazhar Abidi.
Title
Ali Maulana Ali
Recited By
Written By
Mazhar Abidi
Ali Maulana Ali Lyrics in English
Ta Surat E Piwand e Jahan Bud Ali Bud
Ta Naqsh e Zamin Bud Zaman Bud Ali Bud
Shahi Ke Wali Budo Wasi Bud Ali Bud
Sultan Sakhaon Ka Na Mujood Ali Bud
Hum Adam O Hum Shish O Hum Idris O Hum Ayub
Hum Yusuf O Hum Yunus O Hum Hud Ali Bud
Ham Musa O Ham Issa O Ham Khizr O Ham Ilyas
Ham Salih e Payghambar O Daud Ali Bud
Taaron Ne Abhi Ankh Na Kholi Thi Ali Tha
Na Aman Ka Paigham Na Holi Thi Ali Tha
Data Tha Duaien Thi Na Jholi Thi Ali Tha
Khaliq Ki Zaban Kun Bhi Na Boli Thi Ali Tha
Ali Maulana Ali
Toote Dilon Ki Sada, Ali Maulana Ali
Taaj E Wilayet Tera, Ali Maulana Ali
Haq Ne Kiya Faisla, Khuld Main Wo jaye Ga
Jo Bhi Muhib Hai Tera, Ali Maulana Ali
Anghusti Pe Darwaza Khyber Ko Uthale
Jo Dobte Suraj Ko Ishare Se Bulale
Tufanu Ka Rukh Phair De Mushkil Se Nikale
Jab Chahe Jahan Chahe Jise Chahe Bacha Le
Kul Emaan Hai Tu, Ali Haider Ali Haider
Rab Ki Pehchan Hai Tu, Ali Haider Ali Haider
Deen Ki Jaan Hai Tu, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Teri Jo Fazilat Hai Woh Afsana Nahi Hai
Munkir Hai Jise Teri Taraf Ana Nahi Hai
Jo Zaat E Muhammad Hai Koi Pehchana Nahi Hai
Dunya Ne Tujhe Mana Magar Jana Nahi Hai
Yeh Tera Jah O Hasham, Ali Haider Ali Haider
Sahib E Taig E Do Dam, Ali Haider Ali Haider
Hai Sab Tera Sab Pe Karam, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Tu Sab Se Bari Khaliq E Akbar Ki Nishani
Na Uska Koi Sani Na Tera Koi Sani
Kehte Hain Yeh Quran Ke Tafseer O Mani
Dunya Ne Abhi Teri Haqeeqat Nahi Jani
Ayatullah Bhi Tu, Ali Haider Ali Haider
Wajhullah Bhi Tu, Ali Haider Ali Haider
Asadullah Bhi Tu, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Hum Tere Muqalid Hain Tu Hi Rehbar E Azam
Hai Noor Tera Noor Khuda Wand Do Aalam
Ek Bhai Muhammad Hai Tera Noor E Mujassam
Jhutlaye Meri Baat Ko Kis Main Hai Bhala Dam
Hai Tu Hi Aala Nasb, Ali Haider Ali Haider
Sher e Haq Tera Laqab, Ali Haider Ali Haider
Keh Rahen Hain Yahi Sab, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Doobte Suraj Ne Kaha
Chand Sitaron Ne Kaha
Lal Qalandar Ne Kaha
Tere Liye Hamd O Sana
Na Nooh Thay Na Un Ka Safina Tha Ali Tha
Yasrab Tha Na Makka Na Madina Tha Ali Tha
Abid Na Ibadat Ka Qareena Tha Ali Tha
Jis Waqt YPe Marna Tha Na Jeena Tha Na Ali Tha
Ali Maulana Ali
Taskeen E Dil O Jaan To Ibadat Se Mile Gi
Tasdeeq Ibadat Ko Muwaddat Se Mile Gi
Sajdon Ko Sand Teri Wilayat Se Mile Gi
Tauheed Hamain Teri Muhabbat Se Mile Gi
Jo Tujhe Maane Khuda, Ali Haider Ali Haider
Woh Bhi Munkir Hai Tera, Ali Haider Ali Haider
Yeh Aqeeda Hai Mera, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Parhta Hai Teri Shaan Main Quran Qaseede
Alhamd Se Walnaas Talak Hai Tere Charche
Quran Ki Tilawat Se Khule Raaz Ye Saare
Wlfjr Bhi Walshams Bhi Wallail Bhi Tu Hai
Aql Main Ata Nahi, Ali Haider Ali Haider
Qalb Se Jata Nahi, Ali Haider Ali Haider
Kiya Hai Samajh Ata Nahi, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Juz Tere Kiya Jis Ne Saloni Ka Yeh Daawa
Jo Pochna Chaho Ge Jawab Uska Milega
Hathon Ki Hateli Ki Tarah Se Hai Yeh Dunya
Main Hota Tere Daur Main Tu Poch Hi Leta
Kun Faya Kun Ka Safar, Ali Haider Ali Haider
Yeh Sitaro Ka Nagr, Ali Haider Ali Haider
Kiya Hai Yeh Shams O Qamar, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Ummat Ne Tere Baad Yateemo Ko Sataya
Mola Teri Aulaad Ko Hai Khoon Rulaya
Ek Piyase Musafir Ka Lahu Ban Main Bahaya
Zainab Ki Rida Loot Ke Khaimo Ko Jalaya
Roti Thi Karb O Bala, Ali Haider Ali Haider
Aaye Sher E Khuda, Ali Haider Ali Haider
Lut Gai Ale Aba, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Jab Sham E Ghareeban Ki Rida Dasht Pe Chhai
Ghazi Ki Behan Ranj O Masaib Ki Satai
Ek Tuta Huwa Neza Liye Pehre Pe Aai
Hathon Se Jigr Tham Ke Daiti Thi Duhai
Cheen Gai Meri Rida, Ali Haider Ali Haider
Bhai Bhi Qatl Huwa, Ali Haider Ali Haider
Aaiye Karbobula, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Kehte Hain Zamane Se Yahi Mesum O Mazhar
Hum Haider E Karrar Ki Dehleez Ke Naukar
Rehti Hai Hama Waqt Sada Ek Ke Labon Par
Is Dar Se Bara Saare Zamane Main Nahi Dar
Malik E Kono Makan , Ali Haider Ali Haider
Saat Pardon Mai Niha, Ali Haider Ali Haider
Hai Aqeedat Ki Azaan, Ali Haider Ali Haider
Ali Maulana Ali
Ali Haider Ali Haider, Ali Haider Ali Haider
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon