Mere Ghar Majlis e Hussain Horahi Ha Lyrics - Irfan Haider
Let’s Check Out The Mere Ghar Majlis e Hussain Horahi Ha Lyrics, Recited by Irfan Haider. It is a New Noha of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Mere Ghar Majlis e Hussain Horahi Ha
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Mere Ghar Majlis e Hussain Horahi Ha Lyrics in English
Azadaran E Imam Hussain
Suno Hussainio Suno
Main Kitna Khush Naseeb Hu
Bicha Dia Hai Ghar Main Ne Farsh E Majils E Aza
Karam Ki Hai Yeh Inteha Mehak Raha Hai Ghar Mera
Bata Raha Hai Dil Mera Yahin Hai Waris E Aza
Utar Chukin Sawariyan Sab Aa Chuki Hain Bibiyan
Hai Maizban Abid E Hzeem, Main Khaq Pa E Ahlibait Hon
Chale Aao Ae Azadaro
Chale Aao Ae Pursa Daro
Aao Chale Aao Azadaro
Madar E Husssain Aa Chukin Hain
Mere Ghar Majlis E Hussain Ho Rahi Hai
Tabarukat E Ishq Se Saji Hui Hai Shehnasheen
Charagh Jhoola Masq Taziya Kahin Alam Kahin
Wafaon Ka Zahoor Hai Yeh Karabala Ka Noor Hai
Hai Roshni He Roshni Andhera Door Door Hai
Aao Chale Aao Azadaro
Madar E Husssain Aa Chukin Hain
Mere Ghar Majlis E Hussain Ho Rahi Hai
Nizam Kainat Ka Hai Jisk Ikhtiyar Main
Wo Bibi Farsh E Gham Pe Hai Tumhare Intezar Mai
Qasam Hussain Ki Qasam Karengi Fatima Karam
Saf E Aza Pe Beth K Bahaega Jo Ashq E Gham
Aao Chale Aao Azadaro
Madar E Husssain Aa Chukin Hain
Mere Ghar Majlis E Hussain Ho Rahi Hai
Alam Ki Simt Dekh Kar Rawan Hai Ishq Ka Safar
Main Naaz Kar Raha Hon Aaj Apne Ghar Ko Dekh Kar
Kahan Ab Ghareeb Hon Habib Ka Habib Hon
Yeh Lag Raha Ha Aaj Mai Hussain Se Qareeb Hon
Aao Chale Aao Azadaro
Madar E Husssain Aa Chukin Hain
Mere Ghar Majlis E Hussain Ho Rahi Hai
Khuda Ke Intekhab Ka Ajeeb Intezam Hai
Jo Sar Kata Ke Jang Jeet Le Usse Salam Hai
Suno Ke Kya Hussain Hai Bulandiyan Hussain Hai
Yeh Majlisain Bataengi, Yazeed Tha Hussain Hai
Hussain Zindabad
Hussain Zindabad
Hussain Zindabad
Ya Hussan Ya Hussain, Ya Aba Abdillah
Ya Hussan Ya Hussain, Ya Aba Abdillah
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain
Hamesha Farsh E Aza Par Yehi Dua Mangi
Gham E Hussain Nai Nasal K Supurd Karu
Dua Qubool Hui Dua Qubool Hui
Meri Bayaaz Meri Noha Khuwani Ka Waris
Yeh Mera Nad E Ali Aza K Farsh Pe Aksar
Azaan Deta Hai
Ana Majununal Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya Hussain
Yeh Farshe Gham Sunnat E Sajjad Hai
Haan Usi Majlis Ki Yaad Hai
Wo Pehli Majlis E Aza
Jo Qaid E Sham Mai Hui Bapa
Wahan Bhi Pehle Hadees E Qisa Hui Hogi
Har Ak Bibi Rida Apni Chumti Hogi
Jab Aa Ke Fizza Ne Ki Hogi Marisya Khuwani
Kabhi Hussan Kaha Hoga Or Kabhi Pani
Kahan Tha Zehra Ne Jate Huwe Suno Fizza
Mera Hussan Mere Baad Na Rahe Pyasa
Hamare Samne Ye Hogaya Gazab Ran Mai
Wohi Hussain Hussain Qatl Tashna Lab Ran Main
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya Hussain
Gham E Hussain Ki Wo Pehli Zakira Zainab
Tadap Ke Boli Sare Mimbar E Aza Zainab
Bawaqt Asar Yeh Sattar Qadam Se Dekha Tha
Ghareeb Bhai Ke Seene Pe Shimar Betha Tha
Are Gulu E Khushk Pe Gin Gin K Waar Karta Tha
Tada Ke Syed E Sajjad Ne Kiya Noha
Mai Dafn Krne Jo Baba Ko Karbala Pohncha
Na Jane Baba Ko Maqtal Main Kitna Mara Tha
Badan Yahaan Se Uthau, Wahan Se Girta Tha
Ab Or Hal Mai Kese Karu Bayan, Haye
Hazaro Zakhm The Toti Thi Pasliyan Haye
Baad As Salam, Irafan E Aza
Or Zeeshan Ajab Manzar Tha
Sare Hussain Se Lipti Thi Bibiyan Aaise
Ghareeb E Zahra Ki Mayat Ho Samne Jaise
Alwida Ya Hussain, Alwida Ya Hussain
Alwida Ya Hussain, Alwida Ya Hussain
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon