Mai Sakina Hoon Mujh Na Maro Lyrics - Irfan Haider
Let’s Check Out The Mai Sakina Hoon Mujh Na Maro Lyrics, Recited by Irfan Haider. It is a New Noha of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Mai Sakina Hoon Mujh Na Maro
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Mai Sakina Hoon Mujh Na Maro Lyrics in English
Betiyon Walo Suno Ek Shahenshah Ki Beti Ka Safar
Har Tamanche Pe Jo Kehti Thi Yehi Ro Ro Kar
Baba Baba Baba Baba
Jaan Baba Ki Woh Shehzadi Ghazi Ki Bhateeji
Haye Pardais Mein Bichri Baba Se Woh Bachi
Karbala Se Jo Chali Sham Talak Roti Hui, Wawaila
Hath Gaalon Pe Rakhe Jab Bhi Jahan Se Guzri
Jis Ne Chaha Usay Mara Woh Yehi Kehti Rahi
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina
Baad Baba Ke Jab Shaam E Ghareeban Aai
Khaimon Mein Qayamat Lai
Tum Ne Cheeni Meri Baalian
Khoon Hai Kanon Se Ab Bhi Rawaan
Aur Kurta Bhi Jala Mera
Cheen Li Sar Se Rida Qaidi Banaya Tum Ne, Wawaila
Phir Gala Bandh Ke Panjon Pe Chalaya Tum Ne
Kabhi Chalte Huye Naaqe Se Giraya Tum Ne
Main Ab Yateema Hun Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina
Mere Ammun Ko Yeh Manzar Na Dikhao Zalimo
Gir Jaye Ga Sar Naize Se
Daikho Zakhmi Hai Chehra Mera
Raah Mein Itna Mara Gaya
Kuch To Ehsas Karo Mera
Sar E Abbas Ke Yun Agay Na Lao Mujh Ko
Khainch Kar Baal Tamanche Na Lagao Mujh Ko
Kon Hai Kis Se Kahun Aao Bachao Mujh Ko
Main Be Sahra Hun Mujhe Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina
Kam Sini Mein Bhi Nazar Ati Hun Daadi Jaisi
Gham Itne Sahe Main Ne
Dekho Girti Sambhalti Hun Main
Ab Sahare Se Chalti Hun Main
Kitna Mushkil Hai Safar Mera
Char Barson Mein Hi Ghurbat Ka Ajab Alam Hai
Mere Baalon Mein Safaidi Hai Kamar Mein Kham Hai
Saans Leti Hun To Lagta Hai Labon Par Dam Hai
Main Ab Zaeefa Hun Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina
Qaid Khanay Mein Jab Aai To Ye Manzar Daikha
Har Samt Andhera Tha
Haye, Phir Sakina Ne Ro Kar Kaha
Dam Mera Ghutne Laga
Mujh Ko Le Jao Mere Baba
Phir Kaha Shimr Ye Zindaan Jisay Kehte Hain
Kya Meri Umr Ke Bache Bhi Yahan Rehte Hain
Yad Baba Ki Jab Aaye To Sitam Sehte Hain
Main Aik Dukhiya Hun Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina
Aik Din Aaisa Bhi Aya Dar E Zindaan Khula
Samne Beti Ke Jab Baap Ka Sar Laya Gaya
Zakhmi Chehre Pe Sakina Ke Giray Jab Aansoo
Shabbir Ne Aankhen Kholin
Haye Munh Pe Beti Ne Jab Munh Rakha
Baap Ke Sar Se Aai Sada
Tujh Pe Qurban Tera Baba
Kaisi Zeeshan Aur Irfan E Aza Ghurbat Thi
Beti Khamosh Hui Sun Ke Sada Baba Ki
Lenay Aaya Hun Tumhen Ab Na Kaho Gi Bibi
Main Sakina Hun Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maro
Main Chhoti Zahra Hun Mujhe Na Maro
Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon